Uncategorised

Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha – Aitbar Sajid

Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha Na Sukoon Tha Na Qarar Tha
Yehi Umar Thi Mere Hum Nasheen Ke Kisi Se Mujh Ko Bhi Pyaar Tha

Main Samajh Raha Hoon Teri Kasak, Tera Mera Dard Hai Mushtarak
Ussi Gham Ka Tu Bhi Aseer Hai, Ussi Dukh Ka Main Bhi Shikaar Tha

Faqat Ek Dhun Thi Ke Raat Din Ussi Khwabzaar Mein Gum Rahein
Woh Suroor Aisa Suroor Tha, Woh Khumaar Aisa Khumaar Tha

Kabhi Lamha Bhar Ki Bhi Guftagu Meri Uske Saath Na Ho Saki
Mujhe Fursatein Nahin Mil Sakin, Woh Hawa Ke Rath Pe Sawaar Tha

Hum Ajeeb Tarz Ke Log The Ke Hamare Aur Hi Rog The
Main Khizaan Mein Uska Tha Muntazir, Use Intezaar Bahaar Tha

Use Parh Ke Tum Na Samajh Sake Ke Meri Kitaab Ke Roop Mein
Koi Qarz Tha Kai Saal Ka, Kai Rat Jagon Ka Adhaar Tha

ترے جیسا میرا بھی حال تھا نہ سکون تھا نہ قرار تھا
یہی عمر تھی مرے ہم نشیں کہ کسی سے مجھ کو بھی پیار تھا

میں سمجھ رہا ہوں تری کسک ترا میرا درد ہے مشترک
اسی غم کا تو بھی اسیر ہے اسی دکھ کا میں بھی شکار تھا

فقط ایک دھن تھی کہ رات دن اسی خواب زار میں گم رہیں
وہ سرور ایسا سرور تھا وہ خمار ایسا خمار تھا

کبھی لمحہ بھر کی بھی گفتگو مری اس کے ساتھ نہ ہو سکی
مجھے فرصتیں نہیں مل سکیں وہ ہوا کے رتھ پہ سوار تھا

ہم عجیب طرز کے لوگ تھے کہ ہمارے اور ہی روگ تھے
میں خزاں میں اس کا تھا منتظر اسے انتظار بہار تھا

اسے پڑھ کے تم نہ سمجھ سکے کہ مری کتاب کے روپ میں
کوئی قرض تھا کئی سال کا کئی رت جگوں کا ادھار تھا

 

Dekh Letay Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai – Urdu Ghazal
Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yaraane Gaye – Khatir Ghaznavi
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jaata — Ahmed Faraz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *