
Khuda Woh Waqt Na Laye – Faiz Ahmad Faiz
خدا وہ وقت نہ لائے کہ سوگوار ہو تو
سکوں کی نیند تجھے بھی حرام ہو جائے
تری مسرت پیہم تمام ہو جائے
تری حیات تجھے تلخ جام ہو جائے
غموں سے آئینۂ دل گداز ہو تیرا
ہجوم یاس سے بیتاب ہو کے رہ جائے
وفور درد سے سیماب ہوکے رہ جائے
ترا شباب فقط خواب ہو کے رہ جائے
غرور حسن سراپا نیاز ہو تیرا
طویل راتوں میں تو بھی قرار کو ترسے
تری نگاہ کسی غم گسار کو ترسے
خزاں رسیدہ تمنا بہار کو ترسے
کوئی جبیں نہ ترے سنگ آستاں پہ جھکے
کہ جنس عجز و عقیدت سے تجھ کو شاد کرے
فریب وعدۂ فردا پہ اعتماد کرے
خدا وہ وقت نہ لائے کہ تجھ کو یاد آئے
وہ دل کہ تیرے لیے بے قرار اب بھی ہے
وہ آنکھ جس کو ترا انتظار اب بھی ہے
Khuda Woh Waqt Na Laye
Khuda Woh Waqt Na Laye Ke Sogwaar Ho Tu
Sukoon Ki Neend Tujhe Bhi Haraam Ho Jaye
Teri Musarrat-e-Paayham Tamaam Ho Jaye
Teri Hayaat Tujhe Talkh Jaam Ho Jaye
Ghamon Se Aaina-e-Dil Gudaaz Ho Tera
Hujoom-e-Yaas Se Betaab Ho Ke Reh Jaye
Wafur-e-Dard Se Seemaab Ho Ke Reh Jaye
Tera Shabaab Faqat Khwaab Ho Ke Reh Jaye
Ghuroor-e-Husn Saraapa Neyaaz Ho Tera
Taweel Raathon Mein Tu Bhi Qaraar Ko Tarse
Teri Nigaah Kisi Gham-Gusaar Ko Tarse
Khizaan Raseeda Tamanna Bahaar Ko Tarse
Koi Jabeen Na Tere Sang-e-Aastaan Pe Jhuke
Ke Jins-e-Ajz-o-Aqeedat Se Tujh Ko Shaad Kare
Fareb-e-Wa’da-e-Farda Pe Aitimaad Kare
Khuda Woh Waqt Na Laye Ke Tujh Ko Yaad Aaye
Woh Dil Ke Tere Liye Be-Qaraar Ab Bhi Hai
Woh Aankh Jis Ko Tera Intezar Ab Bhi Hai.
Haseen Khwab Na De, Ab Yaqeen Saada De – Ghazal
Aag Lehraa Ke Chal Rahe Ho Ise Aanchal Kar Do – Bashir Badr
Kaise Keh Doon Ke Mulaqat Nahi Hoti Hai – Shakeel Badayuni



