Urdu Poetry

Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein

اب اداس پھرتے ہو سردیوں کی شاموں میں - شعیب بن عزیز

Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein

Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein
Is Tarah To Hota Hai, Is Tarah Ke Kamon Mein

Ab To Us Ki Aankhon Ke Mai-Kade Mayassar Hain
Phir Sukoon Dhoondhoge Saagaron Mein, Jaamon Mein

Dosti Ka Daawa Kya, Aashiqi Se Kya Matlab
Main Tere Faqeeron Mein, Main Tere Ghulamon Mein

Zindagi Bikhar’ti Hai, Shaayari Nikhar’ti Hai
Dilbaron Ki Galiyon Mein, Dil-Lagi Ke Kamon Mein

Jis Tarah Shu’aib Us Ka Naam Chun Liya Tum Ne
Us Ne Bhi Hai Chun Rakha Ek Naam, Namon Mein.

اب اداس پھرتے ہو سردیوں کی شاموں میں
اس طرح تو ہوتا ہے اس طرح کے کاموں میں

اب تو اس کی آنکھوں کے مے کدے میسر ہیں
پھر سکون ڈھونڈوگے ساغروں میں جاموں میں

دوستی کا دعویٰ کیا عاشقی سے کیا مطلب
میں ترے فقیروں میں میں ترے غلاموں میں

زندگی بکھرتی ہے شاعری نکھرتی ہے
دلبروں کی گلیوں میں دل لگی کے کاموں میں

جس طرح شعیبؔ اس کا نام چن لیا تم نے
اس نے بھی ہے چن رکھا ایک نام ناموں میں

 

Yahan Har Shakhs Har Pal Haadisa Hone Se Darta Hai – Lyrics
Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai – Muzaffar Warsi
Yeh Hadsa Mujhe Hairan Kar Gaya Sar Shaam – Urdu Ghazal
Yeh Kya Ke Sab Se Bayan Dil Ki Haalatain Karni – Ahmad Faraz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *