
Khwab Ke Qaidi Rahe To Kuch Nazar Aata Na Tha
(Noshi Gilani)
Khwab Ke Qaidi Rahe To Kuch Nazar Aata Na Tha,
Jab Chalay To Janglon Mein Raasta Banta Gaya.
Tehmatain To Khair Qismat Theen Magar Is Hijr Mein,
Pehle Aankhein Bujh Gayi Aur Ab Chehra Gaya.
Hum Woh Mehroom-E-Safar Hain Dasht-E-Khwaahish Mein Jinhein,
Ek Hisaar-E-Dar-O-Deewar Mein Rakha Gaya.
Bar Mila Sach Ki Jahan Talqeen Ki Jaati Rahi,
Phir Wahan Jo Log Sachay Thay Unhein Roka Gaya.
Hum Woh Be-Manzil Musafir Hain Jinhein Har Haal Mein,
Hum-Safar Rakha Gaya Aur Be-Nawa Rakha Gaya.
Kha Gaya Shauq-E-Zor-E-Bazm-Aaraai Use,
Sahib-E-Fahm-O-Firaasat Tha Magar Tanha Gaya.
خواب کے قیدی رہے تو کچھ نظر آتا نہ تھا
جب چلے تو جنگلوں میں راستہ بنتا گیا
تہمتیں تو خیر قسمت تھیں مگر اس ہجر میں
پہلے آنکھیں بجھ گیئں اور اب چہرہ گیا
ہم وہ محرومِ سفر ہیں دشتِ خواہش میں جنہیں
اک حصارِ درو دیوار میں رکھا گیا
بر ملا سچ کی جہاں تلقین کی جاتی رہی
پھر وہاں جو لوگ سچے تھے انہیں روکا گیا
ہم وہ بے منزل مسافر ہیں جنہیں ہر حال میں
ہم سفر رکھا گیا اور بے نوا رکھا گیا
کھا گیا شوقِ زورِ بزم آرائی اسے
صاحبِ فہم و فراست تھا مگر تنہا گیا
(نوشی گیلانی)
Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi – Urdu Ghazal
Kaise Keh Doon Ke Mulaqat Nahi Hoti Hai – Shakeel Badayuni
Yeh Dhoop Kinara, Shaam Dhale (Lyrics) – Faiz Ahmad Faiz


![Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar [Lyrics in Urdu]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/09/pexels-pixabay-209004-390x220.jpg)

