Achhi Hai Doston Se Shikayat Kabhi Kabhi
(Adeem Hashmi)
Achhi Hai Doston Se Shikayat Kabhi Kabhi,
Barhti Hai Is Tarah Bhi Mohabbat Kabhi Kabhi.
Pehchaan Ho Gayi Kai Logon Ki Is Tarah,
Aayi Hai Kaam Yun Bhi Zarurat Kabhi Kabhi.
Hote Hain Qurbaton Mein Bhi Mahshar Kai Bapa,
Aati Hai Wasl Mein Bhi Qayamat Kabhi Kabhi.
Phir Ek Be-Panaah Si Shiddat Ke Waaste,
Qurbaan Hum Ne Ki Teri Qurbat Kabhi Kabhi.
Yun Bhi Laga Ke Tere Siwa Koi Dil Mein Hai,
Mehsoos Ki Nahi Teri Chahat Kabhi Kabhi.
Yun Bhi Laga Ke Tere Siwa Hai Hi Kuch Nahin,
Duniya Pe Chha Gayi Teri Soorat Kabhi Kabhi.
Woh Jis Ko Dekh Dekh Ke Jee Tang Aa Gaya,
Achhi Bahut Lagi Wohi Soorat Kabhi Kabhi.
Sachchai To Hai Ye Ke Zamaane Ke Husn Mein,
Yaad Aayi Hi Nahin Teri Soorat Kabhi Kabhi.
Duniya Ki Aur Baat Hai, Duniya To Ghair Hai,
Hoti Hai Apne Aap Se Wehshat Kabhi Kabhi.
Saara Hi Waqt, Saare Jahaan Ke Liye Adeem,
Apne Liye Bhi Chahiye Fursat Kabhi Kabhi.
Dooree Kabhi Kabhi Badi Achhi Lagi Adeem,
Achhi Nahin Lagi Humein Qurbat Kabhi Kabhi.
اچھی ہے دوستوں سے شِکایت کبھی کبھی
بڑھتی ہے اِس طرح بھی محبت کبھی کبھی
پہچان ہو گئی کئی لوگوں کی اِس طرح
آئی ہے کام یُوں بھی ضرُورت کبھی کبھی
ہوتے ہیں قُربتوں میں بھی محشر کئی بپَا
آتی ہے وصل میں بھی قیامت کبھی کبھی
پھر ایک بےپناہ سی شِدت کے واسطے
قُربان ہم نے کی تری قُربت کبھی کبھی
یُوں بھی لگا کہ تیرے سوا کوئی دل میں ہے
محسُوس کی نہیں تیری چاہت کبھی کبھی
یُوں بھی لگا کہ تیرے سوا ہے ہی کچھ نہیں
دُنیا پہ چھا گئی تری صورت کبھی کبھی
وہ جس کو دیکھ دیکھ کے جی تنگ آ گیا
اچھی بہت لگی وہی صُورت کبھی کبھی
سچائی تو ہے یہ کہ زمانے کے حُسن میں
یاد آئی ہی نہیں تری صُورت کبھی کبھی
دُنیا کی اور بات ہے، دُنیا تو غیر ہے
ہوتی ہے اپنے آپ سے وحشت کبھی کبھی
سارا ہی وقت، سارے جہاں کے لیے عدیم
اپنے لئے بھی چاہیئے فُرصت کبھی کبھی
دُوری کبھی کبھی بڑی اچھی لگی عدیم
اچھی نہیں لگی ہمیں قُربت، کبھی کبھی
عدیم ہاشمی
Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha – Aitbar Sajid
Haseen Khwab Na De, Ab Yaqeen Saada De – Ghazal


![So Baar Chaman Mehka, So Baar Bahaar Aayi [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/01/pexels-kpaukshtite-712876-390x220.jpg)

