Habib Jalib

Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha

تم سے پہلے وہ جو اک شخص یہاں تخت نشیں تھا - حبیب جالب

Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha
Habib Jalib

Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha,
Usko Bhi Apne Khuda Honay Pe Itna Hi Yaqeen Tha.

Koi Thehra Ho Jo Logon Ke Muqabil To Batao,
Woh Kahaan Hain Ke Jinhein Naaz Bohat Apne Ta’in Tha.

Aaj Soye Hain Teh-e-Khaak Na Jaane Yahan Kitne,
Koi Shaola, Koi Shabnam, Koi Mehtaab Jabeen Tha.

Ab Woh Phirtay Hain Usi Sheher Mein Tanha Liye Dil Ko,
Ek Zamane Mein Mizaaj Unka Sar-e-Arsh-e-Bareen Tha.

Chhodna Ghar Ka Humein Yaad Hai Jalib Nahin Bhoole,
Tha Watan Zehan Mein Apne Koi Zindan To Nahin Tha

Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha
Poetry in Urdu

تم سے پہلے وہ جو اک شخص یہاں تخت نشیں تھا
اس کو بھی اپنے خدا ہونے پہ اتنا ہی یقیں تھا

کوئی ٹھہرا ہو جو لوگوں کے مقابل تو بتاؤ
وہ کہاں ہیں کہ جنہیں ناز بہت اپنے تئیں تھا

آج سوئے ہیں تہ خاک نہ جانے یہاں کتنے
کوئی شعلہ کوئی شبنم کوئی مہتاب جبیں تھا

اب وہ پھرتے ہیں اسی شہر میں تنہا لیے دل کو
اک زمانے میں مزاج ان کا سر عرش بریں تھا

چھوڑنا گھر کا ہمیں یاد ہے جالبؔ نہیں بھولے
تھا وطن ذہن میں اپنے کوئی زنداں تو نہیں تھا

Habib Jalib – Dastoor – Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Dil Par Shauq Ko Pehlu Mein Dabaaye Rakha 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *