Amjad Islam Amjad

Yeh Jo Ab Morr Aaya Hai – Amjad Islam Amjad

یہ جو اب موڑ آیا ھے

Yeh Jo Ab Morr Aaya Hai
Faiz Ahmad Faiz Poetry

Yeh Jo Ab Morr Aaya Hai
Yahan Ruk Kar Kai Baaten Samajhne Ki Zarurat Hai

Ke Yeh Is Raaste Ka Ek Hissa Hi Nahi, Saare
Safar Ka Jaanchne Ka, Dekhne Ka, Bolne Ka
Ek Paimana Bhi Hai, Yani
Yeh Aisa Aaeena Hai
Jis Mein Aks-e-Haal-o-Maazi Aur Mustaqbil
Ba Yak Lamha Numayan Hai

Yeh Us Ka Istiara Hai
Suna Hai Reg-e-Sahra Ke Safar Mein
Raaste Se Do Qadam Bhatkein
To Manzil Tak Pahunchne Mein Kai Farsang Ki Doori Nikalti Hai

So Ab Jo Morr Aaya Hai
Yahan Ruk Kar Kai Baaten Samajhne Ki Zarurat Hai

یہ جو اب موڑ آیا ھے
یہاں رک کر کئی باتیں سمجھنے کی ضرورت ھے
کہ یہ اس راستے کا ایک حصہ ہی نہیں، سارے
سفر کا جانچنے کا ، دیکھنے کا ، بولنے کا
ایک پیمانہ بھی ھے، یعنی
یہ ایسا آئینہ ھے
جس میں عکسِ حال و ماضی اور مستقبل
بہ یک لمحہ نمایاں ہے
یہ اس کا استعارہ ھے
سنا ھے ریگِ صحرا کے سفر میں
راستے سے دو قدم بھٹکیں
تو منزل تک پہنچنے میں کئی فرسنگ کی دوری نکلتی ھے
سو اب جو موڑ آیا ھے
یہاں رک کر کئی باتیں سمجھنے کی ضرورت ھے

 

Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai – Saghar Siddiqui
Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakha Hai – Ahmad Faraz
Khuda Woh Waqt Na Laye – Faiz Ahmad Faiz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *