
Naam Be Had Thay Magar Un Ka Nishaan Koi Na Tha
Munir Niazi
Naam Be Had Thay Magar Un Ka Nishaan Koi Na Tha
Bastiyan Hi Bastiyan Theen Paasbaan Koi Na Tha
Khurram-o-Shadaab Chehre, Saabit-o-Sayyar Dil
Ek Zameen Aisi Thi Jis Ka Aasmaan Koi Na Tha
Kya Bala Ki Shaam Thi Subhon Shabon Ke Darmiyan
Aur Main Un Manzilon Par Tha Jahaan Koi Na Tha
Kookti Thi Bansuri Chaaron Dishaon Mein Muneer
Par Nagar Mein Us Sada Ka Raazdaan Koi Na Tha
نام بے حد تھے مگر ان کا نشاں کوئی نہ تھا
بستیاں ہی بستیاں تھیں پاسباں کوئی نہ تھا
خرم و شاداب چہرے ثابت و سیار دل
اک زمیں ایسی تھی جس کا آسماں کوئی نہ تھا
کیا بلا کی شام تھی صبحوں شبوں کے درمیاں
اور میں ان منزلوں پر تھا جہاں کوئی نہ تھا
کوکتی تھی بانسری چاروں دشاؤں میں منیرؔ
پر نگر میں اس صدا کا رازداں کوئی نہ تھا
Sab Chiraghon Ki Hidayat Ka Matlab Samjhe – Komal Joya
Yeh Duniya Hai, Yahan Pe Dastaanen Maar Deti Hain
Khwab Ke Qaidi Rahe To Kuch Nazar Aata Na Tha (Noshi Gilani)




