
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki
Parveen Shakir
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki
Aur Hum Ne Rote Rote Dupatte Bhigo Liye
Palkon Pe Kachi Neendon Ka Ras Pheilta Ho Jab
Aise Mein Aankh Dhoop Ke Rukh Kaise Kholiye
Teri Barahna Paayi Ke Dukh Baantte Hue
Hum Ne Khud Apne Paon Mein Kaante Chubho Liye
Main Tera Naam Le Ke Tazabzub Mein Par Gayi
Sab Log Apne Apne Azeezon Ko Ro Liye
“Khushbu Kahin Na Jaye” Yeh Israr Hai Bohat
Aur Yeh Bhi Arzoo Ke Zara Zulf Kholiye
Tasveer Jab Nai Hai, Naya Canvas Bhi Hai
Phir Tashtari Mein Rang Purane Na Gholiye
– Parveen Shakir
بس یہ ہُوا کہ اُس نے تکلّف سے بات کی
اور ہم نے روتے روتے دوپٹے بھگو لیے
پلکوں پہ کچی نیندوں کا رَس پھیلتا ہو جب
ایسے میں آنکھ دھُوپ کے رُخ کیسے کھولیے
تیری برہنہ پائی کے دُکھ بانٹتے ہُوئے
ہم نے خُود اپنے پاؤں میں کانٹے چبھو لیے
میں تیرا نام لے کے تذبذب میں پڑ گئی
سب لوگ اپنے اپنے عزیزوں کو رو لیے!
’’خوشبو کہیں نہ جائے‘‘ یہ اصرار ہے بہت
اور یہ بھی آرزو کہ ذرا زُلف کھولیے
تصویر جب نئی ہے ، نیا کینوس بھی ہے
پھر طشتری میں رنگ پُرانے نہ گھولیے
پروین شاکر
Na Qareeb Aa Na To Door Ja – Ghazal
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay – Munir Niazi
Aaj To Be-Sabab Udaas Hai Ji (Nasir Kazmi)



