
Sabhi Kuch Hai Tera Diya Hua
Faiz Ahmad Faiz
Sabhi Kuch Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahtein Sabhi Kulfatein
Kabhi Sohbatein Kabhi Furqatein Kabhi Dooriyan Kabhi Qurbatein
Ye Sukhan Jo Hum Ne Raqam Kiye Ye Hain Sab Waraq Teri Yaad Ke
Koi Lamha Subh-e-Wisaal Ka Koi Shaam-e-Hijr Ki Muddatein
Jo Tumhari Maan Lein Nasihā To Rahega Dāman-e-Dil Mein Kya
Na Kisi Adu Ki Adāwatain Na Kisi Sanam Ki Marwatein
Chalo Aao Tum Ko Dikhāein Hum Jo Bacha Hai Maqtal-e-Shehr Mein
Ye Mazār Ahl-e-Safā Ke Hain Ye Hain Ahl-e-Sidq Ki Turbatein
Meri Jān Aaj Ka Gham Na Kar Ke Na Jaane Kātib-e-Waqt Ne
Kisi Apne Kal Mein Bhi Bhool Kar Kahin Likh Rakhi Hon Musarratein
سبھی کچھ ہے تیرا دیا ہوا سبھی راحتیں سبھی کلفتیں
کبھی صحبتیں کبھی فرقتیں کبھی دوریاں کبھی قربتیں
یہ سخن جو ہم نے رقم کیے یہ ہیں سب ورق تری یاد کے
کوئی لمحہ صبح وصال کا کوئی شام ہجر کی مدتیں
جو تمہاری مان لیں ناصحا تو رہے گا دامن دل میں کیا
نہ کسی عدو کی عداوتیں نہ کسی صنم کی مروتیں
چلو آؤ تم کو دکھائیں ہم جو بچا ہے مقتل شہر میں
یہ مزار اہل صفا کے ہیں یہ ہیں اہل صدق کی تربتیں
مری جان آج کا غم نہ کر کہ نہ جانے کاتب وقت نے
کسی اپنے کل میں بھی بھول کر کہیں لکھ رکھی ہوں مسرتیں
Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki – Parveen Shakir
Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish




