
Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Nayapan Kya Hai
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Nayapan Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi Taaron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Ek Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsos Na Badli Hai Zameen
Ek Hindse Ka Badalna Koi Jidat To Nahin
Agle Barson Ki Tarah Honge Qareene Tere
Kise Maloom Nahin Barah Mahine Tere
January February March Mein Paregi Sardi
Aur April May June Mein Hogi Garmi
Tera Man Dehr Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paaye Ga
Apni Miyaad Basar Kar Ke Chala Jaaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi Shaam Nayi
Warna In Aankhon Ne Dekhe Hain Naye Saal Kai
Be Sabab Log Kyun Dete Hain Mubarak Badain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadein
Teri Aamad Se Ghati Umar Jahan Se Sab Ki
Faiz Ne Likhi Hai Yeh Nazm Niraale Dhab Ki
New Year Poetry in Urdu
اے نئے سال بتا تجھ میں نیاپن کیا ہے
ہر طرف خلق نے کیوں شور مچا رکھا ہے
روشنی دن کی وہی تاروں بھری رات وہی
آج ہم کو نظر آتی ہے ہر ایک بات وہی
آسمان بدلا ہے افسوس نا بدلی ہے زمیں
ایک ہندسے کا بدلنا کوئی جدت تو نہیں
اگلے برسوں کی طرح ہوں گے قرینے تیرے
کسے معلوم نہیں بارہ مہینے تیرے
جنوری فروری مارچ میں پڑے گی سردی
اور اپریل مئی جون میں ہو گی گرمی
تیرا من دہر میں کچھ کھوئے گا کچھ پائے گا
اپنی میعاد بسر کر کے چلا جائے گا
تو نیا ہے تو دکھا صبح نئی شام نئی
ورنہ ان آنکھوں نے دیکھے ہیں نئے سال کئی
بے سبب لوگ کیوں دیتے ہیں مبارک باديں
غالباً بھول گئے وقت کی کڑوی یادیں
تیری آمد سے گھٹی عمر جہاں سے سب کی
فیضؔ نے لکھی ہے یہ نظم نرالے ڈھب کی
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono
Ata Jise Tera Aks-e Jamal Hota Hai – Saghar Siddiqui
In Sahme Hue Shehron Ki Faza Kuch Kehti Hai – Nasir Kazmi




