Mohsin Naqvi

Woh De Raha Hai Delaasay To Umar Bhar Ke Mujhe – Ghazal

Woh De Raha Hai Delaasay To Umar Bhar Ke Mujhe
Mohsin Naqvi Poetry

Woh De Raha Hai Delaasay To Umar Bhar Ke Mujhe
Bichhar Na Jaaye Kahin Phir Udaas Kar Ke Mujhe

Jahan Na Tu Na Teri Yaad Ke Qadam Honge
Dara Rahe Hain Wohi Marhalay Safar Ke Mujhe

Hawaye Dasht Mujhe Ab To Ajnabi Na Samajh
Ke Ab To Bhool Gaye Raaste Bhi Ghar Ke Mujhe

Yeh Chand Ashk Bhi Tere Hain Shaam-E-Gham Lekin
Ujalne Hain Abhi Khaal O Khad Sehar Ke Mujhe

Dil-E-Tabah Tere Gham Ko Taalne Ke Liye
Suna Raha Hai Fasane Idhar Udhar Ke Mujhe

Qaba-E-Zakhm Badan Par Saja Ke Nikla Hoon
Woh Ab Mila Bhi To Dekhe Ga Aankh Bhar Ke Mujhe

Kuch Is Liye Bhi Main Us Se Bichhar Gaya Mohsin
Woh Door Door Se Dekhe Thahar Thahar Ke Mujhe

وہ دے رہا ہے “دلاسے” تو عمر بھر کے مجھے
بچھڑ نہ جائے کہیں پھر اداس کر کے مجھے

جہاں نہ تو نہ تیری یاد کے قدم ہوں گے
ڈرا رہے ہیں وہی مرحلے سفر کے مجھے

ہوائے دشت مجھے اب تو اجنبی نہ سمجھ!
کہ اب تو بھول گئے راستے بھی گھر کے مجھے

یہ چند اشک بھی تیرے ہیں شامِ غم لیکن
اجالنے ہیں ابھی خال و خد سحر کے مجھے

دلِ تباہ ترے غم کو ٹالنے کیلیے!
سنا رہا ہے فسانے اِدھر اُدھر کے مجھے

قبائے زخم بدن پر سجا کے نکلا ہوں
وہ اب ملا بھی تو دیکھے گا آنکھ بھر کر مجھے

کچھ اس لیے بھی میں اس سے بچھڑ گیا محسن
وہ دور دور سے دیکھے ٹھہر ٹھہر کے مجھے

محسن نقوی

 

Hum Se Badal Gaya Woh Nigahein To Kya Hua
Woh Nahi Mila To Malal Kya – Urdu Sad Poetry
Yeh Duniya Hai, Yahan Pe Dastaanen Maar Deti Hain

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *