
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye
Akhtar Shirani
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye
Woh Umar Kya Hui Woh Zamane Kidhar Gaye
Veeran Hain Sahn-o-Baagh Baharon Ko Kya Hua
Woh Bulbulein Kahaan Woh Tarane Kidhar Gaye
Hai Najd Mein Sukoot Hawaon Ko Kya Hua
Lailaen Hain Khamosh Diwane Kidhar Gaye
Ujray Paday Hain Dasht Ghazalon Pe Kya Bani
Sone Hain Kohsaar Diwane Kidhar Gaye
Woh Hijr Mein Wisaal Ki Umeed Kya Hui
Woh Ranj Mein Khushi Ke Bahane Kidhar Gaye
Din Raat Mai Kaday Mein Guzarti Thi Zindagi
Akhtar Woh Bekhudi Ke Zamane Kidhar Gaye
اے دل وہ عاشقی کے فسانے کدھر گئے
وہ عمر کیا ہوئی وہ زمانے کدھر گئے
ویراں ہیں صحن و باغ بہاروں کو کیا ہوا
وہ بلبلیں کہاں وہ ترانے کدھر گئے
ہے نجد میں سکوت ہواؤں کو کیا ہوا
لیلائیں ہیں خموش دوانے کدھر گئے
اجڑے پڑے ہیں دشت غزالوں پہ کیا بنی
سونے ہیں کوہسار دوانے کدھر گئے
وہ ہجر میں وصال کی امید کیا ہوئی
وہ رنج میں خوشی کے بہانے کدھر گئے
دن رات مے کدے میں گزرتی تھی زندگی
اخترؔ وہ بے خودی کے زمانے کدھر گئے
Bargashta-e-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai – Saghar Siddiqui
Aankh Se Dil Mein Aane Wala – Arzoo Lakhnavi
Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish



