
Jab Apna Qafila Azm-o-Yaqeen Se Nikle Ga
Muzaffar Warsi
Jab Apna Qafila Azm-o-Yaqeen Se Nikle Ga
Jahan Se Chahain Ge Rasta Wahin Se Nikle Ga
Libas-e-Ghair Na Hoga Badan Pe Jab Apne
To Koi Saanp Na Phir Aasteen Se Nikle Ga
Jo Aasmanon Mein Baante Ga Roshni Apni
Woh Aftaab Ussi Sarzameen Se Nikle Ga
Watan Ki Reet Zara Eeriyan Ragarnay De
Mujhe Yaqeen Hai Ke Paani Yahin Se Nikle Ga
Muqabla To Muzaffar Karoon Andheron Se
Chiraagh Ban Ke Paseena Jabeein Se Nikle Ga
جب اپنا قافلہ عزم و یقیں سے نکلے گا
جہاں سے چاہیں گے رستہ وہیں سے نکلے گا
لباس غیر نہ ہوگا بدن پہ جب اپنے
تو کوئی سانپ نہ پھر آستیں سے نکلے گا
جو آسمانوں میں بانٹے گا روشنی اپنی
وہ آفتاب اسی سرزمیں سے نکلے گا
وطن کی ریت ذرا ایڑیاں رگڑنے دے
مجھے یقیں ہے کہ پانی یہیں سے نکلے گا
مقابلہ تو مظفرؔ کروں اندھیروں سے
چراغ بن کے پسینہ جبیں سے نکلے گا
Habib Jalib – Dastoor – Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Chhord Jaane Pe Parindon Ki Muzammat Ki Ho – Urdu Poetry
Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai – Parveen Shakir



![Aa Chal Ke Tujhe Main Le Ke Chaloon [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/11/sunset-3984144_640-390x220.jpg)
