
Khoobsurat Mord – Sahir Ludianvi Poem
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono
Na Main Tum Se Koi Umeed Rakhun Dil Nawazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Galat Andaaz Nazron Se
Na Mere Dil Ki Dhadkan Larkharaaye Meri Baaton Se
Na Zahir Ho Tumhari Kashmakash Ka Raaz Nazron Se
Tumhein Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Paish Qadmi Se
Mujhe Bhi Log Kehte Hain Ke Ye Jalwe Paraaye Hain
Mere Hum Raah Bhi Ruswaiyaan Hain Mere Maazi Ki
Tumhare Saath Bhi Guzri Hui Raaton Ke Saaye Hain
Taaruf Rog Ho Jaaye To Uska Bhoolna Behtar
Taluq Bojh Ban Jaaye To Usko Todna Acha
Woh Afsana Jise Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin
Use Ek Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Acha
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono
چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں
نہ میں تم سے کوئی امید رکھوں دل نوازی کی
نہ تم میری طرف دیکھو غلط انداز نظروں سے
نہ میرے دل کی دھڑکن لڑکھڑائے میری باتوں سے
نہ ظاہر ہو تمہاری کشمکش کا راز نظروں سے
تمہیں بھی کوئی الجھن روکتی ہے پیش قدمی سے
مجھے بھی لوگ کہتے ہیں کہ یہ جلوے پرائے ہیں
مرے ہم راہ بھی رسوائیاں ہیں میرے ماضی کی
تمہارے ساتھ بھی گزری ہوئی راتوں کے سائے ہیں
تعارف روگ ہو جائے تو اس کا بھولنا بہتر
تعلق بوجھ بن جائے تو اس کو توڑنا اچھا
وہ افسانہ جسے انجام تک لانا نہ ہو ممکن
اسے اک خوبصورت موڑ دے کر چھوڑنا اچھا
چلو اک بار پھر سے اجنبی بن جائیں ہم دونوں
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz
Na Qareeb Aa Na To Door Ja – Ghazal
Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi – Mohsin Naqvi
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko – Ghazal
![Aa Chal Ke Tujhe Main Le Ke Chaloon [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/11/sunset-3984144_640-390x220.jpg)



