Noor Jahan

Hum Se Badal Gaya Woh Nigahein To Kya Hua – Lyrics

Hum Se Badal Gaya Woh Nigahein To Kya Hua
Noor Jahan Lyrics

Hum Se Badal Gaya Woh Nigahein To Kya Hua
Zinda Hain Kitne Log Mohabbat Kiye Baghair

Khai Thi Jis Ne Pyar Ki Jhooti Qasam Kabhi
Ilzaam Us Ko Dein Ge Na Bhoole Se Hum Kabhi
Hontoñ Pe Khailti Hain Jo Aahen To Kya Hua
Sadma Yeh Jheelna Hai Shikayat Kiye Baghair

Ae Kaash! Aa Ke Woh Humein Ek Baar Dekh Le
Urti Hai Kaise Phool Ki Mehkhaar Dekh Le
Bechain Ho Rahi Hain Yeh Baahen To Kya Hua
Woh Laut Jaye Hum Pe Inayat Kiye Baghair

Haq Use Woh Pyar Ke Naghmaat Bech De
Kuch Rahaten Khareed Ke Jazbaat Bech De
Apni Badal Chuka Hai Woh Rahein To Kya Hua
Hum Chup Rahein Ge Us Ko Malamat Kiye Baghair

Zinda Hain Kitne Log Mohabbat Kiye Baghair

ہم سے بدل گیا وہ نگاہیں تو کیا ہوا
زندہ ہیں کتنے لوگ محبت کئے بغیر

کھائی تھی جس نے پیار کی جھوٹی قسم کبھی
الزام اس کو دیں گے نہ بھولے سے ہم کبھی
ہونٹوں پہ کھیلتی ہیں جو آہیں تو کیا ہوا
صدمہ یہ جھیلنا ہے شکایت کیے بغیر

اے کاش! آ کے وہ ہمیں اک بار دیکھ لے
اُڑتی ہے کیسے پھول کی مہکار دیکھ لے
بےچین ہو رہی ہیں یہ بانہیں تو کیا ہوا
وہ لوٹ جائے ہم پہ عنایت کیے بغیر

حق اُسے وہ پیار کے نغمات بیچ دے
کچھ راحتیں خرید کے جذبات بیچ دے
اپنی بدل چُکا ہے وہ راہیں تو کیا ہوا
ہم چُپ رہیں گے اُس کو ملامت کیے بغیر

زندہ ہیں کتنے لوگ محبت کیے بغیر

Is Ishq Ke Haathon Se Hargiz Na Mafar Dekha – Jigar
Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam – Faiz
Na Qareeb Aa Na To Door Ja – Ghazal
Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki – Parveen Shakir

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *