
Ghazal: Rakhte Hain Dushmani Bhi Jatate Hain Pyar Bhi
Poet: Purnam Allahabadi
Rakhte Hain Dushmani Bhi Jatate Hain Pyar Bhi
Hain Kaise Gham-Gusaar Mere Gham-Gusaar Bhi
Afsurdagi Bhi Rukh Pe Hai Unke Nikhaar Bhi
Hai Aaj Gulistan Mein Khizaan Bhi Bahaar Bhi
Peeta Hoon Main Sharaab-E-Mohabbat To Kya Hua
Peeta Hai Yeh Sharaab To Parwardigaar Bhi
Milne Ki Hai Khushi To Bichhadne Ka Hai Malaal
Dil Mutmain Bhi Aap Se Hai Be-Qarar Bhi
Aa Kar Woh Meri Laash Pe Yeh Keh Ke Ro Diye
Tum Se Hua Na Aaj Mera Intezaar Bhi
Ae Dost Baad-E-Marg Bhi Main Hoon Shikasta-Haal
Dil Ki Tarah Se Toota Hua Hai Mazaar Bhi
Parnam Ye Sab Karam Hai Qamar Ka Jo Aaj Kal
Hota Hai Ahl-E-Fann Mein Tumhara Shumaar Bhi
رکھتے ہیں دشمنی بھی جتاتے ہیں پیار بھی
ہیں کیسے غم گسار مرے غم گسار بھی
افسردگی بھی رخ پہ ہے ان کے نکھار بھی
ہے آج گلستاں میں خزاں بھی بہار بھی
پیتا ہوں میں شراب محبت تو کیا ہوا
پیتا ہے یہ شراب تو پروردگار بھی
ملنے کی ہے خوشی تو بچھڑنے کا ہے ملال
دل مطمئن بھی آپ سے ہے بے قرار بھی
آ کر وہ میری لاش پہ یہ کہہ کے رو دیے
تم سے ہوا نہ آج مرا انتظار بھی
اے دوست بعد مرگ بھی میں ہوں شکستہ حال
دل کی طرح سے ٹوٹا ہوا ہے مزار بھی
پرنمؔ یہ سب کرم ہے قمرؔ کا جو آج کل
ہوتا ہے اہل فن میں تمہارا شمار بھی
Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye – Akhtar Shirani
Pehli Baat Hi Aakhri Thi By Muneer Niazi




