Jaun Elia

So Woh Aansoo Hamare Aakhri Aansoo The – Jaun

So Woh Aansoo Hamare Aakhri Aansoo The

Jaun Elia Poetry

 

So Woh Aansoo Hamare Aakhri Aansoo The
Jo Hum Ne Galay Mil Kar Bahaaye The
Na Jane Waqt In Aankhon Se Phir Kis Taur Paish Aaya
Magar Meri Fareb-E-Waqt Ki Behki Hui Aankhon Ne
Is Ke Baad Bhi
Aansoo Bahaaye Hain
Mere Dil Ne Bohat Se Dukh Rachaye Hain
Magar Yun Hai Ke Maah O Saal Ki Is Raigani Mein
Meri Aankhen
Galay Milte Hue Rishton Ki Furqat Ke Woh Aansoo

 اس رائیگانی میں

سو وہ آنسو ہمارے آخری آنسو تھے

جو ہم نے گلے مل کر بہائے تھے

نہ جانے وقت ان آنکھوں سے پھر کس طور پیش آیا

مگر میری فریب وقت کی بہکی ہوئی آنکھوں نے

اس کے بعد بھی

آنسو بہائے ہیں

مرے دل نے بہت سے دکھ رچائے ہیں

مگر یوں ہے کہ ماہ و سال کی اس رائیگانی میں

مری آنکھیں

گلے ملتے ہوئے رشتوں کی فرقت کے وہ آنسو

Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabiyat Kaisi – Akbar Allahabdi
Itni Muddat Baad Mile Ho Kuch To Dil Ka Haal Kaho – Lyrics
Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai – Mohsin Naqvi
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain – Ada Jafarey

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *