Wasif Ali Wasif

Ik Dard Ka Qissa Yaad Raha Main Dil Ka Lagana Bhool Gaya

Ik Dard Ka Qissa Yaad Raha Main Dil Ka Lagana Bhool Gaya

Wasif Ali Wasif Poetry

 

Ik Dard Ka Qissa Yaad Raha Main Dil Ka Lagana Bhool Gaya
Ro Ro Ke Sunaya Afsana Main Unwan Batana Bhool Gaya

Kab Kis Ki Nazar Se Apni Nazar Takraai Kahan To Yaad To Kar
Madhosh Nazar Ne Mast Kiya Main Hosh Mein Aana Bhool Gaya

Saaqi Ki Nazar Se Pi Main Ne Meikhane Mein Kahraam Micha
Rindon Ne Bohat Poocha Lekin Main Naam Batana Bhool Gaya

Kal Tak Main Kisi Ki Bazm Mein Tha Ab Dhoond Raha Hoon Mehfil Ko
Ek Raag Alaapa Tha Lekin Main Geet Sunana Bhool Gaya

Gustakh Nahin Be Baak Sahi, Naagahaan Nigaahen Chaar Huwein
Main Sar Ko Jhukana Bhool Gaya, Nazron Ko Girana Bhool Gaya

Wasif Ko Mile Hain Andaaz Ajab, Aansoo Hain Meri Hasti Ka Sabab
Kis Baat Pe Rota Hoon Har Shab Hai Qissa Purana Bhool Gaya…!

اِک درد کا قِصہ یاد رہا میں دل کا لگانا بھول گیا
رو رو کے سُنایا افسانہ میں عُنوان بتانا بھول گیا

کب کس کی نظر سے اپنی نظر ٹکرائی کہاں تو یاد تو کر
مدہوش نظر نے مست کیا میں ہوش میں آنا بھول گیا

ساقی کی نظر سے پی میں نے میخانے میں کہرام مچا
رِندوں نے بہت پوچھا لیکن میں نام بتانا بھول گیا

کل تک میں کسی کی بزم میں تھا اب ڈھونڈ رہا ہوں محفل کو
اک راگ الاپا تھا لیکن میں گیت سنانا بھول گیا

گُستاخ نہیں بے باک سہی ناگہاں نِگاہیں چار ہوئیں
میں سر کو جُھکانا بھول گیا نظروں کو گِرانا بھول گیا

واصِفؔ کو مِلے ہیں انداز عجب آنسو ہیں مری ہستی کا سبب
کس بات پہ روتا ہوں ہر شب ہے قصہ پُرانا بھول گیا…!

واصِف علی واصِفؔ

Chhap Tilak Sab Chhini Re (Lyrics) – Amir Khusro Poetry
Man Tu Shudam Tu Man Shudi (Lyrics in Urdu) | من تو شدم تومن شدی

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *