Urdu Poetry

Dard Ki Had Se Guzaare To Sabhi Jaayenge – Shakeel Azmi

درد کی حد سے گزارے تو سبھی جائیں گے - شکیل اعظمی

Dard Ki Had Se Guzaare To Sabhi Jaayenge

Shakeel Azmi

 

Dard Ki Had Se Guzaare To Sabhi Jaayenge
Jald Ya Der Se Maare To Sabhi Jaayenge

Sirf Main Hi Nahin Bazaar Ki Mandi Ka Shikaar
Jeeb Mein Le Ke Khasaare To Sabhi Jaayenge

Nadiyan Laashon Ko Paani Mein Nahin Rakhti Hain
Tehrain Ya Dooben Kinaare To Sabhi Jaayenge

Chaahay Kitni Bhi Bulandi Pe Chala Jaye Koi
Aasmanōn Se Utaare To Sabhi Jaayenge

Masjiden Sab Ko Bulaati Hain Bhalaai Ki Taraf
Aayein Na Aayein Pukaare To Sabhi Jaayenge

Dard Ki Had Se Guzaare To Sabhi Jaayenge Poetry in Urdu

درد کی حد سے گزارے تو سبھی جائیں گے
جلد یا دیر سے مارے تو سبھی جائیں گے

صرف میں ہی نہیں بازار کی مندی کا شکار
جیب میں لے کے خسارے تو سبھی جائیں گے

ندیاں لاشوں کو پانی میں نہیں رکھتی ہیں
تیریں یا ڈوبیں کنارے تو سبھی جائیں گے

چاہے کتنی بھی بلندی پہ چلا جائے کوئی
آسمانوں سے اتارے تو سبھی جائیں گے

مسجدیں سب کو بلاتی ہیں بھلائی کی طرف
آئیں نہ آئیں پکارے تو سبھی جائیں گے

Kahaniyan Na Suno Aas Paas Logon Ki – Ahmad Faraz
Yunhi Umeed Dilaate Hain Zamaane Wale – Urdu Poetry
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *