Parveen Shakir

Gulaab Haath Mein Ho, Aankh Mein Sitaara Ho

گلاب ہاتھ میں ہو ، آنکھ میں سِتارہ ہو​

Gulaab Haath Mein Ho, Aankh Mein Sitaara Ho

 Parveen Shakir Poetry

Gulaab Haath Mein Ho, Aankh Mein Sitaara Ho
Koi Wajood-E-Mohabbat Ka Istaara Ho

Main Gehre Paani Ki Uss Ro Ke Saath Behti Rahun
Jazeera Ho Ke Muqaabil Koi Kinaara Ho

Kabhi Kabaar Usay Dekh Lein, Kahin Mil Lein
Yeh Kab Kaha Tha, Ke Woh Khush-Badan Hamaara Ho

Qasoor Ho To Humare Hisaab Likh Jaaye
Mohabbaton Mein Jo Ehsaan Ho, Tumhaara Ho

Yeh Itni Raat Gaye Kaun Dastaken Dega!
Kahin Hawa Ka Hi Usne Na Roop Dhaara Ho

Ufuq To Kya Hai, Dar-E-Kahkashaan Bhi Chhoo Aayein
Musafiron Ko Agar Chaand Ka Ishaara Ho

Main Apne Hisse Ke Sukh Jis Ke Naam Kar Daalun
Koi To Ho, Jo Mujhe Is Tarah Ka Pyaara Ho

Agar Wajood Mein Aahang Hai, To Wasl Bhi Ho!
Main Chahe Nazm Ka Tukra, Woh Nasr Paara Ho

Gulaab Haath Mein Ho, Aankh Mein Sitaara Ho
Parveen Shakir Poetry in Urdu

گلاب ہاتھ میں ہو ، آنکھ میں سِتارہ ہو​
کوئی وجودِ محبّت کا استعارہ ہو​

میں گہرے پانی کی اُس رو کے ساتھ بہتی رہُوں​
جزیرہ ہو کہ مُقابِل کوئی کنارہ ہو​

کبھی کبھار اُسے دیکھ لیں، کہیں مِل لیں​
یہ کب کہا تھا، کہ وہ خوش بدن ہمارا ہو​

قصور ہو تو ہمارے حساب لکھ جائے​
محبتوں میں جو احسان ہو، تمھارا ہو​

یہ اِتنی رات گئے کون دستکیں دے گا !​
کہیں ہَوا کا ہی اُس نے نہ رُوپ دھارا ہو​

اُفق تو کیا ہے، درِ کہکشاں بھی چھُو آئیں​
مُسافروں کو اگر چاند کا اِشارہ ہو​

میں اپنے حِصّے کے سُکھ جس کے نام کر ڈالوں​
کوئی تو ہو، جو مجھے اِس طرح کا پیارا ہو​

​اگر وجود میں آہنگ ہے، تو وصْل بھی ہو!​
میں چاہے نظم کا ٹکڑا، وہ نثر پارہ ہو ​

​پروین شاکر

Chand Lamhon Ke Liye Ek Mulaaqaat Rahi – Kausar Niazi
Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga – Ghazal
Kahoon Kis Se Qissa-e-Dard-o-Gham – Akbar Allahabadi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *