
Uzr Aanay Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahin
Dagh Dehlvi Shayari
Uzr Aanay Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahin
Baais Tark E Mulaqat Batate Bhi Nahin
Muntazir Hain Dam E Rukhsat Ke Ye Mar Jaye To Jayein
Phir Ye Ehsaan Ke Hum Chhor Ke Jate Bhi Nahin
Sar Uthao To Sahi Aankh Milaao To Sahi
Nasha E Mai Bhi Nahin Neend Ke Maate Bhi Nahin
Kya Kaha Phir To Kaho Hum Nahin Sunte Teri
Nahin Sunte To Hum Aison Ko Sunate Bhi Nahin
Khoob Parda Hai Ke Chilman Se Lage Baithe Hain
Saaf Chhupte Bhi Nahin Samne Aate Bhi Nahin
Mujh Se Lagar Teri Aankhon Mein Khatakte To Rahe
Tujh Se Naazuk Meri Nazron Mein Samate Bhi Nahin
Dekhte Hi Mujhe Mehfil Mein Ye Irshaad Hua
Kaun Betha Hai Isey Log Uthate Bhi Nahin
Ho Chuka Qata E Talluq To Jafaein Kyun Hon
Jin Ko Matlab Nahin Rehta Woh Satate Bhi Nahin
Zeest Se Tang Ho Ae Daagh To Jeete Kyun Ho
Jaan Pyari Bhi Nahin Jaan Se Jate Bhi Nahin
عذر آنے میں بھی ہے اور بلاتے بھی نہیں
باعث ترک ملاقات بتاتے بھی نہیں
منتظر ہیں دم رخصت کہ یہ مر جائے تو جائیں
پھر یہ احسان کہ ہم چھوڑ کے جاتے بھی نہیں
سر اٹھاؤ تو سہی آنکھ ملاؤ تو سہی
نشۂ مے بھی نہیں نیند کے ماتے بھی نہیں
کیا کہا پھر تو کہو ہم نہیں سنتے تیری
نہیں سنتے تو ہم ایسوں کو سناتے بھی نہیں
خوب پردہ ہے کہ چلمن سے لگے بیٹھے ہیں
صاف چھپتے بھی نہیں سامنے آتے بھی نہیں
مجھ سے لاغر تری آنکھوں میں کھٹکتے تو رہے
تجھ سے نازک مری نظروں میں سماتے بھی نہیں
دیکھتے ہی مجھے محفل میں یہ ارشاد ہوا
کون بیٹھا ہے اسے لوگ اٹھاتے بھی نہیں
ہو چکا قطع تعلق تو جفائیں کیوں ہوں
جن کو مطلب نہیں رہتا وہ ستاتے بھی نہیں
زیست سے تنگ ہو اے داغؔ تو جیتے کیوں ہو
جان پیاری بھی نہیں جان سے جاتے بھی نہیں




