Aitebar SajidNew Year Poetry

Yeh Baat Raat Ko Sone Se Pehle Sochiye Ga – New Year Poetry

Yeh Baat Raat Ko Sone Se Pehle Sochiye Ga

New Year Poetry

 

Yeh Baat Raat Ko Sone Se Pehle Sochiye Ga
Guzishta Saal Dukhaaye Hain Kitne Dil Meine

Hua Hai Kitni Umeedon Ka Khoon Mere Haathon
Rakhi Hai Seene Pe Pathar Ki Kaise Sil Meine

Diya Hai Kitne Dilon Ko… Sukoon, Kaif O Qarar
Kahan Se Dhoond Ke Laaya… Jawaaz-E-Abr-E-Bahaar

Agar Zameer Hai Zinda… Zaroor Sochiye Ga

یہ بات رات کو سونے سے پہلے سوچیے گا
گزشتہ سال دُکھائے ہیں کتنے دل میں نے

ہوا ہے کتنی امیدوں کا خوں مرے ہاتھوں
رکھی ہے سینے پہ پتھر کی کیسے سِل میں نے

دیا ہے کتنے دلوں کو ۔۔سکون، کیف و قرار
کہاں سے ڈھونڈ کے لایا ۔۔۔جوازِ ابر ِ بہار

اگر ضمیر ہے زندہ۔۔۔۔۔ضرور سوچئے گا

اعتبار ساجد

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Nayapan Kya Hai
Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gaya 
Jaatay Saal Ki Aakhri Shab Hai 
Aakhri Chand Din December Ke

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *