![Phir Chhadi Raat Baat Phoolon Ki [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/11/pexels-iriser-1233419.jpg)
Phir Chhadi Raat Baat Phoolon Ki
Phir Chhadi Raat Baat Phoolon Ki
Raat Hai Ya Baraat Phoolon Ki
Phool Ke Haar Phool Ke Gajray
Shaam Phoolon Ki Raat Phoolon Ki
Aap Ka Saath Saath Phoolon Ka
Aap Ki Baat Baat Phoolon Ki
Nazrain Milti Hain Jaam Milte Hain
Mil Rahi Hai Hayaat Phoolon Ki
Kaun Deta Hai Jaan Phoolon Par
Kaun Karta Hai Baat Phoolon Ki
Woh Sharafat To Dil Ke Saath Gayi
Lut Gayi Kainaat Phoolon Ki
Ab Kise Hai Dimaag Tehmat-E-Ishq
Kaun Sunta Hai Baat Phoolon Ki
Mere Dil Mein Suroor-E-Subah-E-Bahaar
Teri Aankhon Mein Raat Phoolon Ki
Phool Khilte Rahenge Duniya Mein
Roz Niklegi Baat Phoolon Ki
Yeh Mehakhti Hui Ghazal Makhdoom
Jaise Sehra Mein Raat Phoolon Ki
پھر چھڑی رات بات پھولوں کی
رات ہے یا برات پھولوں کی
پھول کے ہار پھول کے گجرے
شام پھولوں کی رات پھولوں کی
آپ کا ساتھ ساتھ پھولوں کا
آپ کی بات بات پھولوں کی
نظریں ملتی ہیں جام ملتے ہیں
مل رہی ہے حیات پھولوں کی
کون دیتا ہے جان پھولوں پر
کون کرتا ہے بات پھولوں کی
وہ شرافت تو دل کے ساتھ گئی
لٹ گئی کائنات پھولوں کی
اب کسے ہے دماغ تہمت عشق
کون سنتا ہے بات پھولوں کی
میرے دل میں سرور صبح بہار
تیری آنکھوں میں رات پھولوں کی
پھول کھلتے رہیں گے دنیا میں
روز نکلے گی بات پھولوں کی
یہ مہکتی ہوئی غزل مخدومؔ
جیسے صحرا میں رات پھولوں کی
Hawa Chali Thi Kuch Aisi, Bikhar Gaye Hote – Umeed Fazli
Toote Hue Khwabon Ne Hum Ko Ye Sikhaya Hai [Lyrics]




