
Ghamza Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Akbar Allahabadi
Ghamza Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Aankh Un Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota
Jalwa Na Ho Maani Ka To Soorat Ka Asar Kya
Bulbul Gul Tasveer Ka Shaida Nahi Hota
Allah Bachaye Marz-e-Ishq Se Dil Ko
Sunte Hain Ke Yeh Aariza Achha Nahi Hota
Tashbeeh Tere Chehre Ko Kya Dun Gul-e-Tar Se
Hota Hai Shagufta Magar Itna Nahi Hota
Main Naz’ Mein Hoon Aayein To Ehsaan Hai Unka
Lekin Yeh Samajh Lein Ke Tamasha Nahi Hota
Hum Aah Bhi Karte Hain To Ho Jate Hain Badnaam
Woh Qatl Bhi Karte Hain To Charcha Nahi Hota
غمزہ نہیں ہوتا کہ اشارا نہیں ہوتا
آنکھ ان سے جو ملتی ہے تو کیا کیا نہیں ہوتا
جلوہ نہ ہو معنی کا تو صورت کا اثر کیا
بلبل گل تصویر کا شیدا نہیں ہوتا
اللہ بچائے مرض عشق سے دل کو
سنتے ہیں کہ یہ عارضہ اچھا نہیں ہوتا
تشبیہ ترے چہرے کو کیا دوں گل تر سے
ہوتا ہے شگفتہ مگر اتنا نہیں ہوتا
میں نزع میں ہوں آئیں تو احسان ہے ان کا
لیکن یہ سمجھ لیں کہ تماشا نہیں ہوتا
ہم آہ بھی کرتے ہیں تو ہو جاتے ہیں بدنام
وہ قتل بھی کرتے ہیں تو چرچا نہیں ہوتا
Hum Tere Sheher Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah (Lyrics)
Uzr Aanay Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahin – Dagh Dehlvi
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari



