
Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Pak Nahin Hai
Allama Iqbal Poetry (Bal-e-Jibril)
Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Paak Nahin Hai
Phir Iss Mein Ajab Kya Ke Tu Be-Baak Nahin Hai
Hai Zauq-E-Tajali Bhi Issi Khaak Mein Pinhan
Ghafil! Tu Nira Sahib-E-Adraak Nahin Hai
Woh Ankh Ke Hai Surma’ay Afrang Se Roshan
Purkaar-O-Sukhan Saaz Hai, Nam Naak Nahin Hai
Kya Sufi-O-Mullah Ko Khabar Mere Junoon Ki
Un Ka Sar-E-Daman Bhi Abhi Chaak Nahin Hai
Kab Tak Rahe Mehkoomi-E-Anjum Mein Meri Khaak
Ya Main Nahin, Ya Gardish-E-Aflaak Nahin Hai
Bijli Hun, Nazar Koh-O-Bayanbaan Pe Hai Meri
Mere Liye Shayan-E-Khas-O-Khashaak Nahin Hai
Alam Hai Faqat Momin-E-Jaan Baaz Ki Miras
Momin Nahin Jo Sahib-E-Loulaak Nahin Hai
دل سوز سے خالی ہے نگہ پاک نہیں ہے
پھر اس میں عجب کیا کہ تو بے باک نہیں ہے
ہے ذوق تجلی بھی اسی خاک میں پنہاں
غافل تو نرا صاحب ادراک نہیں ہے
وہ آنکھ کہ ہے سرمۂ افرنگ سے روشن
پرکار و سخن ساز ہے نمناک نہیں ہے
کیا صوفی و ملا کو خبر میرے جنوں کی
ان کا سر دامن بھی ابھی چاک نہیں ہے
کب تک رہے محکومئ انجم میں مری خاک
یا میں نہیں یا گردش افلاک نہیں ہے
بجلی ہوں نظر کوہ و بیاباں پہ ہے میری
میرے لیے شایاں خس و خاشاک نہیں ہے
عالم ہے فقط مومن جانباز کی میراث
مومن نہیں جو صاحب لولاک نہیں ہے
Read More Allama Iqbal Poetry:
Zamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka
Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazir
Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai