Parveen Shakir

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista – Ghazal

کُھلے گی اُس نظر پہ چشمِ تر آہستہ آہستہ

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista

Parveen Shakir Poetry

 

Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista
Kiya Jata Hai Pani Mein Safar, Aahista Aahista

Koi Zanjeer Phir Wapas Wahi’n Par Le Ke Aati Hai
Kathin Ho Raah, To Chhutt’ta Hai Ghar Aahista Aahista

Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai
Ke Thakta Ja Raha Hai Hum Safar Aahista Aahista

Khulish Ke Saath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye
Khinchay Teer-E-Shanasaai, Magar Aahista Aahista

Hawa Se Sar-Kashi Mein Phool Ka Apna Zayaan Dekha
So, Jhukta Ja Raha Hai Ab Yeh Sar Aahista Aahista

کُھلے گی اُس نظر پہ چشمِ تر آہستہ آہستہ
کِیا جاتا ہے پانی میں سفر ، آہستہ آہستہ

کوئی زنجیر پھر واپس وہیں پر لے کے آتی ہے
کٹھن ہو راہ ، تو چُھٹتا ہے گھر آہستہ آہستہ

بدل دینا ہے رَستہ یا کہِیں پر بیٹھ جانا ہے
کہ تھکتا جا رہا ہے ، ہم سفر آہستہ آہستہ

خلش کے ساتھ اِس دِل سے نہ میری جاں نِکل جائے
کِھنچے تیرِ شناسائی ،،، مگر ، آہستہ آہستہ

ہَوا سے سرکشی میں پُھول کا اپنا زیاں دیکھاسو
جُھکتا جا رہا ہے اب یہ سَر آہستہ آہستہ

 

Barish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye
Dard Ho Dil Mein To Dawa Keeje – Mirza Ghalib
Dard Ki Had Se Guzaare To Sabhi Jaayenge – Shakeel Azmi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *