
Aayi Hai Ab Yaad Kya Raat Ek Beete Saal Ki
Munir Niazi
Aayi Hai Ab Yaad Kya Raat Ek Beete Saal Ki
Yehi Hawa Thi Baagh Mein Yehi Sada Gharyaal Ki
Mehak Ajab Si Ho Gayi Pare Pare Sandooq Mein
Ranghat Pheeki Par Gayi Resham Ke Romaal Ki
Shehar Mein Dar Tha Maut Ka Chaand Ki Chauthi Raat Ko
Eenton Ki Is Khoh Mein Dehshat Thi Bhoonchaal Ki
Shaam Jhuki Thi Behr Par Paagal Ho Kar Rang Se
Ya Tasveer Thi Khwaab Mein Mere Kisi Khayaal Ki
Umar Ke Saath Ajeeb Sa Ban Jaata Hai Aadmi
Haalat Dekh Ke Dukh Hua Aaj Us Pari Jamaal Ki
Dekh Ke Mujh Ko Ghour Se Phir Woh Chup Se Ho Gaye
Dil Mein Khalish Hai Aaj Tak Us An Kahe Sawaal Ki
آئی ہے اب یاد کیا رات اک بیتے سال کی
یہی ہوا تھی باغ میں یہی صدا گھڑیال کی
مہک عجب سی ہو گئی پڑے پڑے صندوق میں
رنگت پھیکی پڑ گئی ریشم کے رومال کی
شہر میں ڈر تھا موت کا چاند کی چوتھی رات کو
اینٹوں کی اس کھوہ میں دہشت تھی بھونچال کی
شام جھکی تھی بحر پر پاگل ہو کر رنگ سے
یا تصویر تھی خواب میں میرے کسی خیال کی
عمر کے ساتھ عجیب سا بن جاتا ہے آدمی
حالت دیکھ کے دکھ ہوا آج اس پری جمال کی
دیکھ کے مجھ کو غور سے پھر وہ چپ سے ہو گئے
دل میں خلش ہے آج تک اس ان کہے سوال کی
Ghazal Pa Ba Gul Sab Hain Rahai Ki Kare Tadbeer Kaun
Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista – Ghazal
Ghazal – Woh Aay Ke Samne Jis Waqt Muskurate Hain



