
Ajab Ek Tor Hai Jo Hum Sitam Ijaad Rakhain
Jaun Elia
Ajab Ek Tor Hai Jo Hum Sitam Ijaad Rakhain
Ke Na Us Shakhs Ko Bhoolain Na Use Yaad Rakhain
Ehd Us Koocha-e-Dil Se Hai So Us Koochay Mein
Hai Koi Apni Jagah Hum Jise Barbaad Rakhain
Kya Kahein Kitne Hi Nukte Hain Jo Barte Na Gaye
Khush Badan Ishq Karain Aur Humein Ustaad Rakhain
Be Satoon Ek Nawahi Mein Hai Shehr-e-Dil Ki
Tesha In’aam Karain Aur Koi Farhaad Rakhain
Aashiyana Koi Apna Nahin Par Shoq Ye Hai
Ek Qafas Laain Kahin Se Koi Seyaad Rakhain
Hum Ko Anfaas Ki Apne Hai Imarat Karni
Is Imarat Ki Labon Par Tere Buniyad Rakhain
عجب اک طور ہے جو ہم ستم ایجاد رکھیں
کہ نہ اس شخص کو بھولیں نہ اسے یاد رکھیں
عہد اس کوچۂ دل سے ہے سو اس کوچے میں
ہے کوئی اپنی جگہ ہم جسے برباد رکھیں
کیا کہیں کتنے ہی نکتے ہیں جو برتے نہ گئے
خوش بدن عشق کریں اور ہمیں استاد رکھیں
بے ستوں اک نواحی میں ہے شہر دل کی
تیشہ انعام کریں اور کوئی فرہاد رکھیں
آشیانہ کوئی اپنا نہیں پر شوق یہ ہے
اک قفس لائیں کہیں سے کوئی صیاد رکھیں
ہم کو انفاس کی اپنے ہے عمارت کرنی
اس عمارت کی لبوں پر ترے بنیاد رکھیں
Yaad Kiya Aayenge Woh Log Jo Aaye Na Gaye – Parveen Shakir
Khulay Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista – Ghazal
Ghazal – Woh Aay Ke Samne Jis Waqt Muskurate Hain




