
Dard Rukta Nahi Ek Pal Bhi Ishq Ki Yeh Saza Mil Rahi Hai
Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics
Dard Rukta Nahi Ek Pal Bhi Ishq Ki Yeh Saza Mil Rahi Hai
Maut Se Pehle Hi Mar Gaye Hum Chot Nazron Ki Aisi Lagi Hai
Be-Wafa Itna Ehsaan Kar De Kam Se Kam Ishq Ki Laaj Rakh Le
Do Qadam Chal Ke Kandha To De De Tere Aashiq Ki Mayyat Uthi Hai
Raat Kat’ti Hai Gin Gin Ke Taare Neend Aati Nahi Ek Pal Bhi
Aankh Lagti Nahi Ab Hamari Aankh Us But Se Aisi Lagi Hai
Is Qadar Mere Dil Ko Nichora Ek Qatra Lahoo Ka Na Chhoda
Jagmagati Hai Jo Un Ki Khalwat Woh Mere Khoon Ki Roshni Hai
Ladkhadata Hua Jab Bhi Naazan Un Ki Rangeen Mehfil Mein Pohncha
Dekh Kar Mujh Ko Logon Se Bole Yeh Wohi Be-Wafa Aadmi Hai
درد رکتا نہیں ایک پل بھی عشق کی یہ سزا مل رہی ہے
موت سے پہلے ہی مر گئے ہم چوٹ نظروں کی ایسی لگی ہے
بے وفا اتنا احسان کر دے کم سے کم عشق کی لاج رکھ لے
دو قدم چل کے کاندھا تو دے دے تیرے عاشق کی میت اٹھی ہے
رات کٹتی ہے گن گن کے تارے نیند آتی نہیں ایک پل بھی
آنکھ لگتی نہیں اب ہماری آنکھ اس بت سے ایسی لگی ہے
اس قدر میرے دل کو نچوڑا ایک قطرہ لہو کا نہ چھوڑا
جگمگاتی ہے جو ان کی خلوت وہ مرے خون کی روشنی ہے
لڑکھڑاتا ہوا جب بھی نازاںؔ ان کی رنگین محفل میں پہنچا
دیکھ کر مجھ کو لوگوں سے بولے یہ وہی بے وفا آدمی ہے
نازاں شولا پوری



