Sahir Ludhianvi

Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein – Sahir Ludianvi

ہر طرح کے جذبات کا اعلان ہیں آنکھیں

Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein

Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein
Shabnam Kabhi Shoula Kabhi Toofaan Hain Aankhein

ہر طرح کے جذبات کا اعلان ہیں آنکھیں
شبنم کبھی شعلہ کبھی طوفان ہیں آنکھیں

Aankhon Se Badi Koi Tarazo Nahi Hoti
Talta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezaan Hain Aankhein

آنکھوں سے بڑی کوئی ترازو نہیں ہوتی
تلتا ہے بشر جس میں وہ میزان ہیں آنکھیں

Aankhen Hi Milati Hain Zamane Mein Dilon Ko
Anjaan Hain Hum Tum Agar Anjaan Hain Aankhein

آنکھیں ہی ملاتی ہیں زمانے میں دلوں کو
انجان ہیں ہم تم اگر انجان ہیں آنکھیں

Lab Kuch Bhi Kahen Uss Se Haqeeqat Nahi Khulti
Insaan Ke Sach Jhoot Ki Pehchaan Hain Aankhein

لب کچھ بھی کہیں اس سے حقیقت نہیں کھلتی
انسان کے سچ جھوٹ کی پہچان ہیں آنکھیں

Aankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair Ke Aagay
Dunya Mein Badi Cheez Meri Jaan Hain Aankhein

آنکھیں نہ جھکیں تیری کسی غیر کے آگے
دنیا میں بڑی چیز مری جان! ہیں آنکھیں

 


Read More Poetry:

Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry
Bashir Badr Poetry – Mir Tqi MIr Poetry – Nasir Kazmi PoetrySahir Ludhianvi

Insha Ji Utho Ab Kooch Karo – Ibn-e-Insha Poetry
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya (Lyrics)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *