
Wo Khwaab Tha Bikhar Gaya
Poet: Iftikhar Imam Siddiqi
Wo Khwaab Tha Bikhar Gaya Khayal Tha Milaa Nahi
Magar Ai Dil Ko Kya Hua Kyon Bujh Gaya Pata Nahi
وہ خواب تھا بکھر گیا ، خیال تھا مِلا نہیں
مگر اس دل کو کیا ہوا ، کیوں بجھ گیا پتا نہیں
Har Ek Din Udaas Din Tamaam Shab Udaasiyaan
Kisi Se Kya Bichar Gaye Ki Jaise Kuch Bacha Nahi
ہر ایک دن اُداس دن ، تمام شب اُداسیاں
کیا بچھڑ گیا کہ جیسے اب کچھ بچا نہیں
Wo Saath Thaa To Manzilein Nazar Nazar Chiraagh Thien
Qadam Qadam Safar Mein Ab Koi Bhi Lab Dua Nahi
وہ ساتھ تھا تو منزلیں نظر نظر چراغ تھیں
قدم قدم اب سفر میں کوئی لبِ دُعا نہیں
Hum Apne Is Mizaaj Mein Kaheen Bhi Ghar Na Ho Sake
Kisi Se Hum Mile Nahi Kisi Se Dil Mila Nahi
ہم اپنے اس مزاج میں کہیں گھر نہ کر سکے
کسی سے ہم ملے نہیں ، کسی سے دل مِلا نہیں
Wo Khwab Tha Bikhar Gaya Khayal Tha Milaa Nahi
Magar Ai Dil Ko Kya Hua Kyon Bujh Gaya Pata Nahi
وہ خواب تھا بکھر گیا ، خیال تھا مِلا نہیں
مگر اس دل کو کیا ہوا ، کیوں بجھ گیا پتا نہیں
Read More Poetry:
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo – Ibn-e-Insha Poetry
Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein – Sahir Ludianvi
Ulti Ho Gain Sab Tadbiren – Mir Taqi Mir Poetry