
Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nahin
Saghar Siddiqui Poetry
Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nahin
Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nawa Yaad Nahin
Main Ne Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai
Main Wo Sail Hun Jise Koi Sada Yaad Nahin
Main Ne Jin Ke Liye Rahon Mein Bichhaya Tha Lahu
Hum Se Kehte Hain Wahi Ahd-E-Wafa Yaad Nahin
Kaise Bhar Aain Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhen
Kaise Tharrai Charaghon Ki Ziya Yaad Nahin
Sirf Dhundlae Sitaron Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Hua Kaun Hua Kis Se Khafa Yaad Nahin
Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah KaTi Hai
Jaane Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nahin
Aao Ek Sajda Karen Aalam-E-Madhoshi Mein
Log Kehte Hain Ki ‘Saghar’ Ko Khuda Yaad Nahin
Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nahin in Urdu
ہے دعا یاد مگر حرف دعا یاد نہیں
میرے نغمات کو انداز نوا یاد نہیں
میں نے پلکوں سے در یار پہ دستک دی ہے
میں وہ سائل ہوں جسے کوئی صدا یاد نہیں
میں نے جن کے لیے راہوں میں بچھایا تھا لہو
ہم سے کہتے ہیں وہی عہد وفا یاد نہیں
کیسے بھر آئیں سر شام کسی کی آنکھیں
کیسے تھرائی چراغوں کی ضیا یاد نہیں
صرف دھندلائے ستاروں کی چمک دیکھی ہے
کب ہوا کون ہوا کس سے خفا یاد نہیں
زندگی جبر مسلسل کی طرح کاٹی ہے
جانے کس جرم کی پائی ہے سزا یاد نہیں
آؤ اک سجدہ کریں عالم مدہوشی میں
لوگ کہتے ہیں کہ ساغرؔ کو خدا یاد نہیں
Read More Poetry:
Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry
Bashir Badr Poetry – Mir Tqi MIr Poetry – Nasir Kazmi Poetry – Sahir Ludhianvi
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo – Ibn-e-Insha Poetry
Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya (Lyrics)