
Ye Jo Diwane Se Do-Chaar Nazar Aate Hain
Ye Jo Diwane Se Do-Chaar Nazar Aate Hain
In Mein Kuchh Sahab-E-Asrar Nazar Aate Hain
Teri Mahfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedar Nazar Aate Hain
Dur Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu
Marg-E-Ummid Ke Asar Nazar Aate Hain
Mere Daman Mein Shararon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin
Aap Phulon Ke Kharidar Nazar Aate Hain
Kal Jinhen Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Raunaq-E-Bazar Nazar Aate Hain
Hashr Mein Kaun Gawahi Meri Dega ‘Saghar’
Sab Tumhaare Hi Taraf-Dar Nazar Aate Hain
یہ جو دیوانے سے دو چار نظر آتے ہیں
ان میں کچھ صاحب اسرار نظر آتے ہیں
تیری محفل کا بھرم رکھتے ہیں سو جاتے ہیں
ورنہ یہ لوگ تو بیدار نظر آتے ہیں
دور تک کوئی ستارہ ہے نہ کوئی جگنو
مرگ امید کے آثار نظر آتے ہیں
مرے دامن میں شراروں کے سوا کچھ بھی نہیں
آپ پھولوں کے خریدار نظر آتے ہیں
کل جنہیں چھو نہیں سکتی تھی فرشتوں کی نظر
آج وہ رونق بازار نظر آتے ہیں
حشر میں کون گواہی مری دے گا ساغرؔ
سب تمہارے ہی طرفدار نظر آتے ہیں
Poet: Saghar Siddiqui
Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nahin – Saghar Siddiqui
Ek Wada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi – Saghar Siddiqui
Patta Patta Buta Buta Haal Hamara Jaane Hai – Mir Taqi Mir
Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhein – Sahir Ludianvi