
Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein
Bahadur Shah Zafar Poetry
Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein
Kis Ki Bani Hai Aalam-E-Na-Paedar Mein
In Hasraton Se Kah Do Kahin Aur Ja Basen
Itni Jagah Kahan Hai Dil-E-Dagh-Dar Mein
KanTon Ko Mat Nikal Chaman Se O Baghban
Ye Bhi Gulon Ke Sath Pale Hain Bahaar Mein
Bulbul Ko Baghban Se Na Sayyaad Se Gila
Qismat Mein Qaid Likhi Thi Fasl-E-Bahaar Mein
Kitna Hai Bad-Nasib ‘Zafar’ Dafn Ke Liye
Do Gaz Zamin Bhi Na Mili Ku-E-Yar Mein
لگتا نہیں ہے دل مرا اجڑے دیار میں
کس کی بنی ہے عالم ناپائیدار میں
ان حسرتوں سے کہہ دو کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میں
کانٹوں کو مت نکال چمن سے او باغباں
یہ بھی گلوں کے ساتھ پلے ہیں بہار میں
بلبل کو باغباں سے نہ صیاد سے گلہ
قسمت میں قید لکھی تھی فصل بہار میں
کتنا ہے بد نصیب ظفرؔ دفن کے لیے
دو گز زمین بھی نہ ملی کوئے یار میں
Read More Urdu Poetry:
Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki – Parveen Shakir
Kuch Tou Hawa Bhi Sard Thi – Parveen Shakir Poetry
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhe (Lyrics)
Barbaad-E-Mohabbat Ki Dua Sath Liye Ja