
Yar Ko Hum Ne Ja-Ba-Ja Dekha
Singer: Abida Parveen
Poet: Shah Niyaz Ahmad Brelvi
Yar Ko Hum Ne Ja-Ba-Ja Dekha
Kahin Zahir Kahin Chhupa Dekha
Kahin Mumkin Hua Kahin Wajib
Kahin Fani Kahin Baqa Dekha
Did Apne Ki Thi Use Khwahish
Aap Ko Har Tarah Bana Dekha
Surat-E-Gul Mein Khil-Khila Ke Hansa
Shakl-E-Bulbul Mein Chahchaha Dekha
Shama Ho Kar Ke Aur Parwana
Aap Ko Aap Mein Jala Dekha
Kar Ke Dawa Kahin Anal-Haq Ka
Bar-Sar-E-Dar Wo Khincha Dekha
Tha Wo Bartar Shuma-O-Ma Se Niyaz
Phir Wahi Ab Shuma-O-Ma Dekha
Kahin Hai Baadshah-E-Takht-Nashin
Kahin Kasa Liye Gada Dekha
Kahin Abid Bana Kahin Zahid
Kahin Rindon Ka Peshwa Dekha
Kahin Wo Dar-Libas-E-Mashuqan
Bar-Sar-E-Naz Aur Ada Dekha
Kahin Aashiq ‘Niyaz’ Ki Surat
Sina-Biryan O Dil-Jala Dekha
یار کو ہم نے جا بجا دیکھا
کہیں ظاہر کہیں چھپا دیکھا
کہیں ممکن ہوا کہیں واجب
کہیں فانی کہیں بقا دیکھا
دید اپنے کی تھی اسے خواہش
آپ کو ہر طرح بنا دیکھا
صورت گل میں کھل کھلا کے ہنسا
شکل بلبل میں چہچہا دیکھا
شمع ہو کر کے اور پروانہ
آپ کو آپ میں جلا دیکھا
کر کے دعویٰ کہیں انا الحق کا
بر سر دار وہ کھنچا دیکھا
تھا وہ برتر شما و ما سے نیاز
پھر وہی اب شما و ما دیکھا
کہیں ہے بادشاہ تخت نشیں
کہیں کاسہ لئے گدا دیکھا
کہیں عابد بنا کہیں زاہد
کہیں رندوں کا پیشوا دیکھا
کہیں وہ در لباس معشوقاں
بر سر ناز اور ادا دیکھا
کہیں عاشق نیازؔ کی صورت
سینہ بریاں و دل جلا دیکھا
Read More Lyrics:
Main Nara-E-Mastana Main Shokhi-E-Rindana (Lyrics)
Har Chehre Mein Aati Hai Nazar Yar Ki Surat
Un Ke Andaz-E-Karam Un Pe Wo Aana Dil Ka (Lyrics)