
Momin – Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Zarb-e-Kaleem – Allama Iqbal Poetry
(Dunya Mein) – دنيا ميں
Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Razm-e-Haq-o-Batil Ho To Foulad Hai Momin
ہو حلقہ ياراں تو بريشم کی طرح نرم
رزم حق و باطل ہو تو فولاد ہے مومن
Aflak Se Hai Iss Ki Hareefana Kashakash
Khaki Hai Magar Khak Se Azad Hai Momin
افلاک سے ہے اس کی حريفانہ کشاکش
خاکی ہے مگر خاک سے آزاد ہے مومن
Jachte Nahin Kunjishik-o-Hamam Iss Ki Nazar Mein
Jibreel-o-Sarafeel Ka Sayyad Hai Momin
جچتے نہيں کنجشک و حمام اس کی نظر ميں
جبريل و سرافيل کا صياد ہے مومن
Jannat Mein جنت ميں
Kehte Hain Farishte Kr Dil Awaiz Hai Momin
Hooron Ko Shikayat Hai, Kam Amaiz Hai Mominn
کہتے ہيں فرشتے کہ دل آويز ہے مومن
حوروں کو شکايت ہے کم آميز ہے مومن
Read More:
Aqal-o-Dil – Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha – Allama Iqbal Poetry
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana
Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka
Pooch Iss Se Keh Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi