Jaun EliaPoets

Saare Rishte Tabah Kar Aaya – Jaun Elia Poetry

Saare Rishte Tabah Kar Aaya

Jaun Elia

 

Saare rishte tabah kar aya
Dill-e-barbaad apne ghar aya

سارے رشتے تباہ کر آیا
دل برباد اپنے گھر آیا

Akhirash khoo thukne se mian
Baat main teri kya assar aya

آخرش خون تھوکنے سے میاں
بات میں تیری کیا اثر آیا

Tha khabar main ziyan dill-o-jaan ka
Har taraf se main bekhabar aya

تھا خبر میں زیاں دل و جاں کا
ہر طرف سے میں بے خبر آیا

Ab yahan hosh main kabhi apne
Nahin aaon ga main agar aya

اب یہاں ہوش میں کبھی اپنے
نہیں آؤں گا میں اگر آیا

Main raha umar bhar juda khud se
Yaad main khud ko umar bhar aya

میں رہا عمر بھر جدا خود سے
یاد میں خود کو عمر بھر آیا

Woh jo dil naam ka tha ek nafar
Aaj main us se bhi mukar aya

وہ جو دل نام کا تھا ایک نفر
آج میں اس سے بھی مکر آیا

Muddaton baad ghar geya tha main
Jaate hi main wahan se ddar aya

مدتوں بعد گھر گیا تھا میں
جاتے ہی میں وہاں سے ڈر آیا

 

Read More:

Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha – Jaun Elia 
Tumhara Hijr Mana Loon Agar Ijazat Ho – Jaun Elia Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *