
Ijtihaad
Zarb-e-Kaleem – Allama Iqbal Poetry
Hind Mein Hikmat-e-Deen Koi Kahan Se Sikhe
Na Kahin Lazzat-e-Kirdar, Na Afkar-e-Aumeeq
ہند ميں حکمت ديں کوئي کہاں سے سيکھے
نہ کہيں لذت کردار، نہ افکار عميق
Halqa-e-Shouk Mein Woh Jurrat-e-Andesha Kahan
Aah Mehkoomi-o-Taqleed-o-Zawal-e-Tehqeeq
حلقہ شوق ميں وہ جرات انديشہ کہاں
آہ محکومي و تقليد و زوال تحقيق
Khud Badalte Nahin, Quran Ko Badal Dete Hain
Huwe Kis Darja Faqeehan-e-Haram Be-Toufeeq !
خود بدلتے نہيں، قرآں کو بدل ديتے ہيں
ہوئے کس درجہ فقيہان حرم بے توفيق
In Ghulamon Ka Ye Maslak Hai Ke Naqis Hai Kitab
Ke Sikhati Nahin Momin Ko Ghulami Ke Tareeq!
ان غلاموں کا يہ مسلک ہے کہ ناقص ہے کتاب
کہ سکھاتي نہيں مومن کو غلامي کے طريق
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qaumon Ka
Aqal-o-Dil – Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha – Allama Iqbal Poetry
La Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi – Allama Iqbal