Allama IqbalZarb-e-Kaleem

Punjabi Musalman – Mazhab Mein Bohat Taza Pasand

Punjabi Musalman

Allama IqbalZarb-e-Kaleem

 

Mazhab Mein Bohat Taza Pasand Iss Ki Tabiyat
Kar Le Kahin Manzil To Guzerta Hai Bohat Jald

مذہب ميں بہت تازہ پسند اس کي طبيعت
کر لے کہيں منزل تو گزرتا ہے بہت جلد

Tehqeeq Ki Bazi Ho To Shirkat Nahin Karta
Ho Khail Mureedi Ka To Harta Hai Bohat Jald

تحقيق کي بازي ہو تو شرکت نہيں کرتا
ہو کھيل مريدي کا تو ہرتا ہے بہت جلد

Taveel Ka Phanda Koi Sayyad Laga De
Ye Shakh-e-Nasheman Se Uterta Hai Bohat Jald

تاويل کا پھندا کوئي صياد لگا دے
يہ شاخ نشيمن سے اترتا ہے بہت جلد

 

Aaj Woh Kashmir Hai Mehkoom-O-Majboor-O-Faqeer
Tasawwuf – Ye Hikmat-e-Malkooti Ye Ilm-e-Lahooti – Allama Iqbal
Ijtihaad – Hind Mein Hikmat-e-Deen Koi Kahan Se Sikhe

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *