
Poem: Asrar-e-Paida
Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti
Allama Iqbal Poetry – Zarb-e-Kaleem
Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti
Ho Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad
اس قوم کو شمشير کي حاجت نہيں رہتي
ہو جس کے جوانوں کي خودي صورت فولاد
Na-Cheez Jahan-e-Meh-o-Parveen Tere Agay
Woh Alam-e-Majboor Hai, Tu Alam-e-Azad
ناچيز جہان مہ و پرويں ترے آگے
وہ عالم مجبور ہے ، تو عالم آزاد
Moujon Ki Tapish Kya Hai, Faqt Zauq-e-Talab Hai
Pinhan Jo Sadaf Mein Hai, Woh Doulat Hai Khudadad
موجوں کي تپش کيا ہے ، فقط ذوق طلب ہے
پنہاں جو صدف ميں ہے ، وہ دولت ہے خدا داد
Shaheen Kabhi Parwaz Se Thak Kar Nahin Girta
Pur Dam Hai Agar Tu To Nahin Khatra-e-Uftad
شاہيں کبھي پرواز سے تھک کر نہيں گرتا
پر دم ہے اگر تو تو نہيں خطرہ افتاد
Read More Allama Iqbal Poetry:
Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne – Allama Iqbal
Tasawwuf – Ye Hikmat-e-Malkooti Ye Ilm-e-Lahooti – Allama Iqbal
Hamdardi – Tehni Pay Kisi Shajer Ki Tanha – Allama Iqbal Poetry