Allama IqbalBang-e-Dara

Kufr-o-Islam – Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor Se

Kufr-o-Islam
Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor Se

Allama Iqbal Poetry | Bang-e-Dara

(Tazmeen Bar-Shair-e-Meer Razi Danish)

Aik Din Iqbal Ne Pucha Kaleem-e-Toor Se
Ae Ke Tere Naqsh-e-Pa Se Wadi Seena-e-Chaman

ايک دن اقبال نے پوچھا کليم طور سے
اے کہ تيرے نقش پا سے وادی سينا چمن

Aatish-e-Namrood Hai Ab Tak Jahan Mein Shaola Raiz
Ho Gya Ankhon Se Pinhan Kyun Tera Souz-e-Kuhan

آتش نمرود ہے اب تک جہاں ميں شعلہ ريز
ہوگيا آنکھوں سے پنہاں کيوں ترا سوز کہن

Tha Jawab-e-Sahib-e-Seena Ke Muslim Hai Agar
Chor Kar Ghaeeb Ko Tu Hazir Ka Shedai Na Ban

تھا جواب صاحب سينا کہ مسلم ہے اگر
چھوڑ کر غائب کو تو حاضر کا شيدائی نہ بن

Zauq-e-Hazir Hai Tou Phir Lazim Hai Iman-e-Khalil 
Warna Khakstar Hai Teri Zindagi Ka Pairhan

ذوق حاضر ہے تو پھر لازم ہے ايمان خليل
ورنہ خاکستر ہے تيري زندگی کا پيرہن

Hai Agar Diwana-e-Ghaeeb To Kuch Parwa Na Kar
Muntazir Reh Wadi-e-Faran Mein Ho Kar Khema Zan

ہے اگر ديوانۂ غائب تو کچھ پروا نہ کر
منتظر رہ وادی فاراں ميں ہو کر خيمہ زن

Aarzi Hai Shan-e-Hazir, Sitwat-e-Ghaeeb Madaam
Iss Sadaqat Ko Mohabbat Se Hai Rabt-e-Jaan-o-Tan

عارضی ہے شان حاضر ، سطوت غائب مدام
اس صداقت کو محبت سے ہے ربط جان و تن

Shaola-E-Namrood Hai Roshan Zamane Mein To Kya
“Shama Khud Ra Mee Gudazd Darmian-e-Anjuman

شعلہ نمرود ہے روشن زمانے ميں تو کيا
”شمع خود رامی گدازد درميان انجمن

Noor-e-Ma-Chon Atish-e-Sang Az Nazar Pinhan Khush Ast”

نور ما چوں آتش سنگ از نظر پنہاں خوش است

 

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani- Allama Iqbal Poetry
Aaj Woh Kashmir Hai Mehkoom-O-Majboor-O-Faqeer
Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Woh Zamana

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *