Jaun Elia

Haalat-e-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi – Jaun Elia

Haalat-e-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi

Haalat-E-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya, Shauq Ki Zindagi Gayi

Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye
Ya’ni Tere Firaaq Mein,Khoob Sharaab Pee Gayi

Tere Wisaal Ke Liye,Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi

Unki Umeed-E-Naaz Ka, Hum Se Yeh Maan Tha Keh Aap,
Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gayi

Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi

Baad Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

Us Ke Badan Ko Di Numood, Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Quba Bhi See Gayi

Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi

Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya’ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein, Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya, Jab Sey Woh Chaandni Gayi

حالت حال کے سبب حالت حال ہی گئی

حالت حال کے سبب حالت حال ہی گئی
شوق میں کچھ نہیں گیا شوق کی زندگی گئی

تیرا فراق جان جاں عیش تھا کیا مرے لیے
یعنی ترے فراق میں خوب شراب پی گئی

تیرے وصال کے لیے اپنے کمال کے لیے
حالت دل کہ تھی خراب اور خراب کی گئی

اس کی امید ناز کا ہم سے یہ مان تھا کہ آپ
عمر گزار دیجیے عمر گزار دی گئی

ایک ہی حادثہ تو ہے اور وہ یہ کہ آج تک
بات نہیں کہی گئی بات نہیں سنی گئی

بعد بھی تیرے جان جاں دل میں رہا عجب سماں
یاد رہی تری یہاں پھر تری یاد بھی گئی

اس کے بدن کو دی نمود ہم نے سخن میں اور پھر
اس کے بدن کے واسطے ایک قبا بھی سی گئی

مینا بہ مینا مے بہ مے جام بہ جام جم بہ جم
ناف پیالے کی ترے یاد عجب سہی گئی

کہنی ہے مجھ کو ایک بات آپ سے یعنی آپ سے
آپ کے شہر وصل میں لذت ہجر بھی گئی

صحن خیال یار میں کی نہ بسر شب فراق
جب سے وہ چاندنا گیا جب سے وہ چاندنی گئی

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *