Allama IqbalArmaghan-e-Hijaz

Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri – Allama Iqbal

Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri

Allama Iqbal PoetryArmaghan-e-Hijaz

Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri
Ke Faqr-E-Khanqahi Hai Faqat Andoh-O-Dilgeeri

نکل کر خانقاہوں سے ادا کر رسم شبيري
کہ فقر خانقاہي ہے فقط اندوہ و دلگيري

Tere Deen-O-Adab Se Aa Rahi Hai Boo’ay Ruhbani
Ye Hai Marne Wali Ummaton Ka Alam-E-Peeri

ترے دين و ادب سے آ رہي ہے بوئے رہباني
يہي ہے مرنے والي امتوں کا عالم پيري

Shayateen-E-Mulookiat Ki Ankhon Mein Hai Vo Jadoo
Ke Khud Nakhcheer Ke Dil Mein Ho Paida Zuaq-E-Nakhcheeri

شياطين ملوکيت کي آنکھوں ميں ہے وہ جادو
کہ خود نخچير کے دل ميں ہو پيدا ذوق نخچيري

Che Be Parwa Gazashtand Az Nawa’ay Subahgah-E-Mann
Ke Burd Aan Shor-O-Masti Az Seeh Chasmaan-E-Kashmiri !

چہ بے پروا گذشتند از نواے صبحگاہ من
کہ برد آں شور و مستي از سيہ چشمان کشميري

 

Read More:

Ghulamon Ki Namaz – Kaha Mujahid-e-Turki Ne Mujh Se
Punjabi Musalman – Mazhab Mein Bohat Taza Pasand
Ilm-o-Ishq | Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *