
Qalandar Ki Pehchan
Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Kehta Hai Zamane Se Ye Darvesh-e-Jawan Mard
Jata Hai Jidhar Banda-e-Haq, Tu Bhi Udhar Ja!
کہتا ہے زمانے سے يہ درويش جواں مرد
جاتا ہے جدھر بندۂ حق، تو بھی ادھر جا
Hangame Hain Mere Teri Taqat Se Zaida
Bachta Huwa Bunigah-e-Qalandar Se Guzar Ja
ہنگامے ہيں ميرے تری طاقت سے زيادہ
بچتا ہوا بنگاہ قلندر سے گزر جا
Main Kashti-O-Mallah Ka Mauhtaj Na Hun Ga
Charhta Huwa Darya Hai Agar Tu To Utar Ja
ميں کشتی و ملاح کا محتاج نہ ہوں گا
چڑھتا ہوا دريا ہے اگر تو تو اتر جا
Torha Nahin Jadoo Meri Takbeer Ne Tera?
Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurrat To Mukar Ja!
توڑا نہيں جادو مری تکبير نے تيرا؟
ہے تجھ ميں مکر جانے کی جرات تو مکر جا
Meher-O-Mah-O-Anjum Ka Mahasib Hai Qalandar
Ayyam Ka Markab Nahin, Rakin Hai Qalandar
مہر و مہ و انجم کا محاسب ہے قلندر
ايام کا مرکب نہيں، راکب ہے قلندر
Read More:
Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri – Allama Iqbal
Deen-o-Siasat – Kalisa Ki Bunyad Ruhbaniyat Thi | Allama Iqbal
Haal-o-Maqam – Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej