Allama IqbalBang-e-Dara

Naveed-e-Subah – Ati Hai Mashriq Se Jab – Allama Iqbal

Naveed-e-Subah 

Allama Iqbal Poetry | Bang-e-Dara

Ati Hai Mashriq Se Jab Hangama Dar Daman Sehar
Manzil-e-Hasti Se Kar Jati Hai Khamoshi Safar

آتی ہے مشرق سے جب ہنگامہ در دامن سحر
منزل ہستی سے کر جاتی ہے خاموشی سفر

Mehfil-e-Qudrat Ka Akhir Toot Jata Hai Sukoot
Deti Hai Har Cheez Apni Zindagaani Ka Saboot

محفل قدرت کا آخر ٹوٹ جاتا ہے سکوت
ديتی ہے ہر چيز اپنی زندگانی کا ثبوت

Chehchate Hain Prinde Pa Ke Pegham-e-Hayat
Bandhte Hain Phool Bhi Gulshan Mein Ahram-e-Hayat

چہچاتے ہيں پرندے پا کے پيغام حيات
باندھتے ہيں پھول بھی گلشن ميں احرام حيات

Muslim-e-Khawabidah Uth, Hangama Aara Tu Bhi Ho
Woh Chamak Utha Ufaq, Garam-e-Taqaza Tu Bhi Ho

مسلم خوابيدہ اٹھ ، ہنگامہ آرا تو بھی ہو
وہ چمک اٹھا افق ، گرم تقاضا تو بھی ہو

Wusaat-e-Alam Mein Reh Pema Ho Misl-e-Aftab
Daman-e-Gardoon Se Na-Paida Hon Ye Dagh-e-Sahaab

وسعت عالم ميں رہ پيما ہو مثل آفتاب
دامن گردوں سے ناپيدا ہوں يہ داغ سحاب

Khainch Kar Khanjar Kiran Ka, Phir Ho Sargarma-e-Sataiz
Phir Sikha Tareeki-e-Batil Ko Adaab-e-Guraiz

کھينچ کر خنجر کرن کا ، پھر ہو سرگرم ستيز
پھر سکھا تاريکی باطل کو آداب گريز

Tu Sarapa Noor Hai, Khoshtar Hai Uryani Tujhe
Aur Uryan Ho Ke Lazim Hai Khud Afshani Tujhe

تو سراپا نور ہے، خوشتر ہے عريانی تجھے
اور عرياں ہو کے لازم ہے خود افشانی تجھے

Haan, Numayan Ho Ke Barq-e-Didah-e-Khafash Ho
Ae Dil-e-Kon-o-Makan Ke Raaz-e-Muzmir Faash Ho

ہاں ، نماياں ہو کے برق ديدئہ خفاش ہو
اے دل کون ومکاں کے راز مضمر! فاش ہو

 

Hindi Maktab – Iqbal Yahan Naam Na Le Ilm-e-Khudi Ka
Qalandar Ki Pehchan – Allama Iqbal Poetry
Hindi Islam – Hai Zinda Faqt Wahdat-e-Afkar Se Millat | Allama Iqbal

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *