
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Mohsin Naqvi Poetry
Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Na Pooch Kaisey Ghuzrti Hai Terey Hijar Ki Sham
Yeh Barg Barg Udaasi Bekhar Rahi Hai Merey
K Shaakh Shaakh Utarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Ujaar Ghar Main Koi Chaand Kab Utarta Hai
Sawal Mujh Say Yeh Karti Hai Terey Hijar Ki Sham
Merey Safar Main Ek Aisa Bhi Morr Atta Hai
Jab Apnay Aap Say Darti Hai Terey Hijar Ki Sham
Buhat Aziz Hain Dil Ko Yeh Zakhm Zakhm Ruttain
Unhi Ruttoon Main Nekharti Hai Terey Hijar Ki Sham
Yeh Mera Dil, Yeh Sara Sar Nighaar Khanah-E-Ghum
Sada Isi Main Utarti Hai Terey Hijar Ki Sham
Jahan Jahan Bhi Milain Teri Qurbatoon K Nishan
Wahan Wahan Say Ubharti Hai Terey Hijar Ki Sham
Yeh Haadsa Tujhay Shayad Uddas Kar Dey Ga
K Merey Saath Hi Marti Hai Terey Hijar Ki Sham
اجڑ اجڑ کے سنورتی ہے تیرے ہجر کی شام
نہ پوچھ کیسے گزرتی ہے تیرے ہجر کی شام
یہ برگ برگ اداسی بکھر رہی ہے مری
کہ شاخ شاخ اترتی ہے تیرے ہجر کی شام
اجاڑ گھر میں کوئی چاند کب اترتا ہے
سوال مجھ سے یہ کرتی ہے تیرے ہجر کی شام
مرے سفر میں اک ایسا بھی موڑ آتا ہے
جب اپنے آپ سے ڈرتی ہے تیرے ہجر کی شام
بہت عزیز ہیں دل کو یہ زخم زخم رتیں
انہی رتوں میں نکھرتی ہے تیرے ہجر کی شام
یہ میرا دل یہ سراسر نگارخانۂ غم
سدا اسی میں اترتی ہے تیرے ہجر کی شام
۔جہاں جہاں بھی ملیں تیری قربتوں کے نشاں
وہاں وہاں سے ابھرتی ہے تیرے ہجر کی شام
یہ حادثہ تجھے شاید اداس کر دے گا
کہ میرے ساتھ ہی مرتی ہے تیرے ہجر کی شام
Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya – Mohsin Naqvi
Quwwat Aur Deen – Iskandar-o-Changaiz Ke Hathon Se
Haal-o-Maqam – Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej