
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna
Mohsin Naqvi Poetry
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna
Hijar Walon Se Bari Dair Se Sikha Humne
Zinda Rehnay Ke Liye Jan Se Guzartay Rehna
Kya Kahun Kyun Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai
Chand Ke Akas Ka Pani Mein Utartay Rehna
Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna
Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna
بھول جانا بھی اسے یاد بھی کرتے رہنا
اچھا لگتا ہے اسی دھن میں بکھرتے رہنا
ہجر والوں سے بڑی دیر میں سیکھا ہم نے
زندہ رہنے کے لئے جاں سے گزرتے رہنا
کیا کہوں کیوں مری نیندوں میں خلل گھولتا ہے
چاند کے عکس کا پانی میں اترتے رہنا
میں اگر ٹوٹ بھی جاؤں تو پھر آئینہ ہوں
تم میرے بعد بہر طور سنورتے رہنا
شام کو ڈوبتے سورج کی ہے عادت محسن
صبح ہوتے ہی میرے ساتھہ ابھرتے رہنا
Read More:
Jis Ko Aksar Socha Tha Tanhai Main – Mohsin Naqvi Poetry
Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya – Mohsin Naqvi
Main Nara-E-Mastana Main Shokhi-E-Rindana (Lyrics)
Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Samaan Ho Gaye (Lyrics)