
Ye Kya Jagah Hai Dosto Ye Kaun Sa Dayar Hai
Poet: Shehryar
Ye Kya Jagah Hai Dosto Ye Kaun Sa Dayar Hai
Had-E-Nigah Tak Jahan Ghubar Hi Ghubar Hai
Har Ek Jism Ruh Ke Azab Se Nidhala Hai
Har Ek Aankh Shabnami Har Ek Dil Figar Hai
Hamein To Apne Dil Ki Dhadkanon Pe Bhi Yaqin Nahin
Khosha Wo Log Jin Ko Dusron Pe E’tibar Hai
Na Jis Ka Nam Hai Koi Na Jis Ki Shakl Hai Koi
Ek Aisi Shai Ka Kyun Hamein Azal Se Intizar Hai
یہ کیا جگہ ہے دوستو یہ کون سا دیار ہے
حد نگاہ تک جہاں غبار ہی غبار ہے
ہر ایک جسم روح کے عذاب سے نڈھال ہے
ہر ایک آنکھ شبنمی ہر ایک دل فگار ہے
ہمیں تو اپنے دل کی دھڑکنوں پہ بھی یقیں نہیں
خوشا وہ لوگ جن کو دوسروں پہ اعتبار ہے
نہ جس کا نام ہے کوئی نہ جس کی شکل ہے کوئی
اک ایسی شے کا کیوں ہمیں ازل سے انتظار ہے
Read More:
Na Manzilen Thin Na Kuchh Dil Mein Tha – Poetry
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga – Urdu Poetry
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna – Mohsin Naqvi Poetry
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai – Urdu Poetry