Allama IqbalBang-e-Dara

Akhtar-e-Subah – Sitara Subah Ka Rota Tha Aur Ye Kehta Tha

Akhtar-e-Subah

Allama Iqbal Poetry | Bang-e-Dara

Sitara Subah Ka Rota Tha Aur Ye Kehta Tha
Mili Nigah Magar Fursat-e-Nazar Na Mili

ستارہ صبح کا روتا تھا اور يہ کہتا تھا
ملی نگاہ مگر فرصت نظر نہ ملی

Huwi Hai Zinda Dam-e-Aftab Se Har Shay
Aman Mujhi Ko Teh-e-Daman-e-Sehar Na Mili

ہوئی ہے زندہ دم آفتاب سے ہر شے
اماں مجھی کو تہِ دامن سحر نہ ملی

Bisat Kya Hai Bhala Subah Ke Sitare Ki
Nafas Habab Ka, Tabindagi Sharare Ki

بساط کيا ہے بھلا صبح کے ستارے کی
نفس حباب کا ، تابندگی شرارے کی

Kaha Ye Main Ne Ke Ae Zaiwar-e-Jabeen-e-Sehar !
Gham-e-Fana Hai Tujhe ! Gunbad-e-Falak Se Uter

کہا يہ ميں نے کہ اے زيور جبين سحر
غم فنا ہے تجھے! گنبد فلک سے اتر

Tapak Bulandi-e-Gardoon Se Hum-Rah-e-Shabnam
Mere Riyaz-e-Sukhan Ki Faza Hai Jaan Parwar

ٹپک بلندئ گردوں سے ہمرہ شبنم
مرے رياض سخن کی فضا ہے جاں پرور

Main Baghban Hun, Mohabbat Bahar Hai Iss Ki
Bina Misal-e-Abad Paidar Hai Iss Ki

ميں باغباں ہوں ، محبت بہار ہے اس کی
بنا مثال ابد پائدار ہے اس کی

 

Read More:

Sultani – Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta Hai
Prinde Ki Faryad – Allama Iqbal Poetry for Kids
Kahun Kya Arzu-e-Be-Dili Mujh Ko Kahan Tak Hai – Allama Iqbal
Yun Hath Nahin Ata Woh Gohar-e-Yak Dana – Allama Iqbal

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *